SEARCH RESULTS
Showing search results for "zahmat"
Sher MATCHES FOR "zahmat"
Sher
vaaqif hai.n KHuub aap ke tarz-e-jafaa se ham
iz.haar-e-iltifaat kii zahmat na kiijiye
Hasrat Mohani
Sher
kabhii jo zahmat-e-kaar-e-rafuu nahii.n kartaa
hamaare zaKHm usii chaaraagar ke naam tamaam
Irfan Siddiqi
Sher
dhuup bolii ki mai.n aabaa.ii vatan huu.n teraa
mai.n ne phir saaya-e-diivaar ko zahmat nahii.n dii
Farhat Ehsas
Sher
Mirza Ghalib
Sher
mai.n ek baar zahr bhii pii luu.ngaa shauq se
qisto.n me.n zahr piine kii zahmat magar na de
Zafar Naseemi
Sher
Akhtar Orenvi
Sher
lab-e-nigaar ko zahmat na do KHudaa ke liye
ham ahl-e-shauq zabaan-e-nazar samajhte hai.n
Ghulam Rabbani Taban
Sher
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halii sabhii
vaqt kaaTe naa kaTe to kyaa kare.n kis se kahe.n
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
hai tishna-labii lekin ham kyuu.n use zahmat de.n
apnaa hii lahuu pii le.n saaqii ko jagaa.e.n kyaa
Salam Sandelvi
Sher
ham apne aap me.n rahte nahii.n hai.n dam bhar ko
hamaare vaaste diivaar-o-dar kii zahmat kyaa
Ahmar Nadeem
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
Allama Iqbal
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahii.n behtar thaa
apne hisse kii ko.ii sham.a jalaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
ko.ii zamiin hai to ko.ii aasmaan hai
har shaKHs apnii zaat me.n ik daastaan hai