SEARCH RESULTS
Showing search results for "zail"
Sher MATCHES FOR "zail"
Sher
kabhii un kaa nahii.n aanaa KHabar ke zail me.n thaa
magar ab un kaa aanaa hii tamaashaa ho gayaa hai
Arshad Kamal
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
us naqsh-e-paa ke sajde ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
mai.n kuucha-e-raqiib me.n bhii sar ke bal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
Shaukat Thanvi
Sher
mere baGal me.n rah ke mujhii ko kiyaa zaliil
nafrat sii ho ga.ii dil-e-KHaana-KHaraab se
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
raqiib dono.n jahaa.n me.n zaliil kyuu.n hotaa
kisii ke biich me.n kam-baKHt agar nahii.n aataa
Kaifi Hyderabadi
Sher
ab mujh za.iif-o-zaar ko mat kuchh kahaa karo
jaatii nahii.n hai mujh se kisuu kii uThaa.ii baat
Meer Taqi Meer
Sher
ajiib KHvaab thaa aa.nkho.n me.n nii.nd chho.D gayaa
ki nii.nd guzrii hai mujh ko zaliil karte hu.e
Alok Mishra
Sher
aziiz agar nahii.n rakhtaa na rakh zaliil hii rakh
magar nikaal na tuu apnii anjuman se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
aap ko KHuun ke aa.nsuu hii rulaanaa hogaa
haal-e-dil kahne ko ham apnaa agar baiTh ga.e
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
hu.e zaliil to izzat kii justujuu kyaa hai
kiyaa jo ishq to phir paas-e-aabruu kyaa hai