SEARCH RESULTS
Showing search results for "zakhm-e-anaa"
Sher MATCHES FOR "zakhm-e-anaa"
Sher
ye zaKHm-e-anaa kaafii hai ai yuusuf-e-dauraa.n
is chashm-e-zuleKHaa ko tuu Gamnaak na karnaa
Baharunnisa Bahar
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
khaave.nge Taa.nke zaKHm-e-sar-o-ruu par ai tabiib
par zaKHm-e-dil to ham se silaayaa na jaa.egaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zaKHm-e-nigaah zaKHm-e-hunar zaKHm-e-dil ke ba.ad
ik aur zaKHm tujh se bichha.D kar milaa mujhe
Akhtar Saeedi
Sher
phaT jaate hai.n zaKHm-e-dil-e-betaab ke a.nguur
saaqii tire haatho.n se jo saaGar nahii.n miltaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
Saleem Kausar
Sher
har bazm kyuu.n numaa.ish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne dosto.n ke darmiyaa.n na khol
Saleem Shahid
Sher
jo paa liyaa tujhe mai.n KHud ko Dhuu.nDne niklaa
tumhaare qurb ne bhii zaKHm-e-naa-rasaa.ii diyaa
Hazin Ludhianvi
Sher
mai.n zaKHm-e-dar-badarii khaa ke lauT aa.uu.n jab
mire jale hu.e siine pe haat rakh denaa
Salim Saleem
Sher
thaa mast baa.ndhne me.n vo tamhiid-e-zaKHm-e-dil
siine ke ik shigaaf pe u.nglii dhare hu.e
Ahmad Sageer
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
lagaa.ii.n taak ke us mast ne jo talvaare.n
dahaan-e-zaKHm-e-badan se bhii aa.e buu-e-sharaab