SEARCH RESULTS
Showing search results for "zariif"
Sher MATCHES FOR "zariif"
Sher
dekhaa hai kis nigaah se tuu ne sitam-zariif
mahsuus ho rahaa hai mai.n Garq-e-sharaab huu.n
Abdul Hamid Adam
Sher
Zareef Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye taraqqii kaa zamaana hai tire aashiq par
u.ngliyaa.n uThtii thii.n ab haath uThaa karte hai.n
Zareef Jabalpuri
Sher
chaa.e me.n Daal kar ushshaaq use pii jaate
dar-haqiiqat lab-e-ma.ashuuq jo shakkar hotaa
Zareef Lakhnavi
Sher
Zareef Lakhnavi
Sher
saakinaan-e-shahr ab hoshyaar honaa chaahiye
member aur voter kaa kuchh me.aar honaa chaahiye
Zareef Lakhnavi
Sher
vahshat me.n har ik naqsha ulTaa nazar aataa hai
majnuu.n nazar aatii hai lailaa nazar aataa hai
Zareef Lakhnavi
Sher
zulf ke jaal me.n ma.ashuuq kaa sar hai KHud bhii
qaidiyo.n muzhda ki sayyaad tah-e-daam aayaa
Zareef Lakhnavi
Sher
bazm me.n kuchh qadar-daa.n is qism ke aa jaa.e.nge
chhaa.nT kar aksar na.e juute churaa le jaa.e.nge
Zareef Lakhnavi
Sher
Zareef Lakhnavi
Sher
Zareef Jabalpuri
Sher
mai ko jo istilaah me.n kahte hai.n duKHt-e-raz
vo muGbacha hai rindo.n kaa saalaa kahe.n jise
Zareef Lakhnavi
Sher
baaz aa.e mohabbat se ai ishq KHudaa haafiz
ulfat me.n jise dekho andhaa nazar aataa hai
Zareef Lakhnavi
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai
Natiq Lakhnavi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
kahne ke liye ham bhii zabaa.n rakhte hai.n lekin
ye zarf hamaaraa hai ki ham kuchh nahii.n kahte
Siddiq Fatahpuri
Sher
dard ulfat kaa na ho to zindagii kaa kyaa mazaa
aah-o-zaarii zindagii hai be-qaraarii zindagii