SEARCH RESULTS
Showing search results for "zulf-e-qaus-e-quzah"
Sher MATCHES FOR "zulf-e-qaus-e-quzah"
Sher
aasmaano.n me.n lachaktii hu.ii ye qaus-e-quzah
bhes badle hu.e raavan kii kamaa.n hai yaaro
Iqbal Mahir
Sher
vahshat ke is nagar me.n vo qaus-e-quzah se log
jaane kahaa.n se aa.e the jaane kidhar ga.e
Abbas Rizvi
Sher
Fariha Naqvi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
ai zulf-e-KHam-ba-KHam tujhe apnaa hii vaasta
hamvaar hone paa.e na umr-e-ravaa.n kii raah
Jafar Tahir
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
aariz pe rahii zulf-e-siyah-faam hamesha
paamaal rahaa kufr kaa islaam hamesha
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
dil ko ai ishq suu-e-zulf-e-siyah-faam na bhej
rahzano.n me.n tuu musaafir ko sar-e-shaam na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
chaahaa thaa mafar dil ne magar zulf-e-girah-giir
pechaak banaatii rahii pechaak se baahar
Ejaz Gul
Sher
KHayaal-e-zulf-e-dotaa me.n 'nasiir' piiTaa kar
gayaa hai saa.np nikal tuu lakiir piiTaa kar
Shah Naseer
Sher
dil se kyaa puuchhtaa hai zulf-e-girah-giir se puuchh
apne diivaane kaa ahvaal tuu zanjiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
kis zulf-e-siyah-faam ke aa.ii hai muqaabil
hai sham.a ke chehre pe asar chaa.nd-kuhan kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zulf-e-pur-pech ke saude me.n ajab kyaa imkaa.n
gar ulajh jaa.e KHariidaar KHariidaar ke saath
Munawar Khan Ghafil
Sher
vo maqaamaat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur miraa aise nishaanaat kaa zaa.er honaa
Zafar Iqbal
Sher
naa-chaar hai dil zulf-e-girah-giir ke aage
diivaane kaa kyaa chaltaa hai zanjiir ke aage