SEARCH RESULTS
Showing search results for "zunnaar"
Sher MATCHES FOR "zunnaar"
Sher
rah ga.e sab.ha o zunnaar ke jhag.De baaqii
dharm hinduu me.n nahii.n diin musalmaa.n me.n nahii.n
Unknown
Sher
Ishq Aurangabadi
Sher
Ahmad Husain Mail
Sher
dekh kar haath me.n tasbiih gale me.n zunnaar
mujh se bezaar hu.e kaafir o dii.n-daar judaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
saaraa parda hai du.ii kaa jo ye parda uTh jaa.e
gardan-e-shaiKH me.n zunnaar barhaman Daale
Ameer Minai
Sher
jii chaahtaa hai us but-e-kaafir ke ishq me.n
tasbiih to.D Daaliye zunnaar dekh kar
Aagha Akbarabadi
Sher
ba-ma.anii kufr se islaam kab KHaalii hai ai zaahid
nikal sub.he se rishta suurat-e-zunnaar ho paidaa
Waliullah Muhib
Sher
yaad karte hai.n tujhe dair-o-haram me.n shab-o-roz
ahl-e-tasbiih judaa saahib-e-zunnaar judaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
ai shaiKH agar kufr se islaam judaa hai
pas chaahiye tasbiih me.n zunnaar na hotaa
Ashraf Ali Fughan
Sher
kyaa khaa.e.n ham vafaa me.n ab iimaan kii qasam
jab taar-e-sub.ha rishta-e-zunnaar ho chukaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Quli Qutub Shah
Sher
rindaan-e-ishq chhuT ga.e maz.hab kii qaid se
ghanTa rahaa gale me.n na zunnaar rah gayaa
Rind Lakhnavi
Sher
ahd-e-miisaaq kaa laazim hai adab ai vaa.iz
hai ye paimaan-e-vafaa rishta-e-zunnaar na to.D
Sahir Dehlavi
Sher
Shabab
Sher
chho.D kar tasbiih lii zunnaar us but ke liye
the to ahl-e-dii.n par is dil ne barahman kar diyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
zaahid tiraa to diin saraasar fareb hai
rishte se tere sub.ha ke zunnaar hii bhalaa