SEARCH RESULTS
Showing search results for ",UTaj"
Ghazal MATCHES FOR ",uTaj"
Ghazal
sunaa hai raat use chaa.nd taktaa rahtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
aa.nkho.n me.n rahaa dil me.n utar kar nahii.n dekhaa
kashtii ke musaafir ne samundar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
Momin Khan Momin
Ghazal
duniyaa kii nigaaho.n me.n bhalaa kyaa hai buraa kyaa
ye bojh agar dil se utar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Ghazal
tuu saamne hai to phir kyuu.n yaqii.n nahii.n aataa
ye baar baar jo aa.nkho.n ko mal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
hai maujzan ik qulzum-e-KHuu.n kaash yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa kyaa mire aage
Mirza Ghalib
Ghazal
zindagii terii ataa thii so tire naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii tiraa ehsaa.n jaanaa.n
Ahmad Faraz
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Ghazal
laakh talvaare.n ba.Dhii aatii ho.n gardan kii taraf
sar jhukaanaa nahii.n aataa to jhukaa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Ghazal
vo ek hii chehra to nahii.n saare jahaa.n me.n
jo duur hai vo dil se utar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Ghazal
qurbat bhii nahii.n dil se utar bhii nahii.n jaataa
vo shaKHs ko.ii faisla kar bhii nahii.n jaataa