SEARCH RESULTS
Showing search results for "اشک"
Ghazal MATCHES FOR "اشک"
Ghazal
jo ham pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraa.n
hamaare ashk tirii aaqibat sa.nvaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
do ashk jaane kis liye palko.n pe aa kar Tik ga.e
altaaf kii baarish tirii ikraam kaa dariyaa tiraa
Ibn e Insha
Ghazal
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chalaa hai ishq
saamaan-e-sad-hazaar namak-daa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
Amjad Islam Amjad
Ghazal
na tan me.n KHuun faraaham na ashk aa.nkho.n me.n
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vuzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
bas ik nigaah se luTtaa hai qaafila dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ik 'umr se huu.n lazzat-e-girya se bhii mahruum
ai raahat-e-jaa.n mujh ko rulaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
kab jaan lahuu hogii kab ashk guhar hogaa
kis din tirii shunvaa.ii ai diida-e-tar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ha.nsaa ha.nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
tasalliyaa.n mujhe de de ke be-qaraar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
shikva to ek chhe.D hai lekin haqiiqatan
teraa sitam bhii terii inaayat se kam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
jis tarah ha.ns rahaa huu.n mai.n pii pii ke garm ashk
yuu.n duusraa ha.nse to kaleja nikal pa.De