SEARCH RESULTS
Showing search results for "قرب"
Ghazal MATCHES FOR "قرب"
Ghazal
ye qurb kyaa hai ki yak-jaa.n hu.e na duur rahe
hazaar ek hii qaalib me.n Dhal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ye qurb kyaa hai ki tuu saamne hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa.ii kii saa.ate.n karnii
Ahmad Faraz
Ghazal
kabhii kabhii jo tire qurb me.n guzaare the
ab un dino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n
Nasir Kazmi
Ghazal
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
qurb-e-jamaal aur ham aish-e-visaal aur ham
haa.n ye hu.aa ki saakin-e-shahr-e-jamaal ho ga.e
Jaun Eliya
Ghazal
dekh ab qurb kaa mausam bhii na sarsabz lage
hijr hii hijr maraasim me.n samoyaa kaisaa
Ahmad Faraz
Ghazal
nasiib phir ko.ii taqriib-e-qurb ho ki na ho
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kahaa karo us se
Ahmad Faraz
Ghazal
nahii.n aisaa bhii ki ik umr kii qurbat ke nashe
ek do roz kii ranjish se Thikaane lag jaa.e.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vahii hu.aa ki takalluf kaa husn biich me.n thaa
badan the qurb-e-tahii-lams se bikharte hu.e
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
sar-e-shaam se taa-sahar qurb-e-jaanaa.n
na jaane vo thii.n kis zamaane kii raate.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is qadar qurb ke baad aise judaa ho jaanaa
ko.ii kam-hausla insaa.n ho to mar bhii jaa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
na teraa qurb na baada hai kyaa kiyaa jaa.e
phir aaj dukh bhii ziyaada hai kyaa kiyaa jaa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
qurb-e-jaanaa.n kaa na mai-KHaane kaa mausam aayaa
phir se be-sarfa uja.D jaane kaa mausam aayaa
Ahmad Faraz
Ghazal
na puuchh mujh se tire qurb kaa nasha kyaa hai
tuu apnii aa.nkh me.n Dore mire KHumaar ke dekh
Mehshar Afridi
Ghazal
qurb hii kam hai na duurii hii ziyaada lekin
aaj vo rabt kaa ehsaas kahaa.n hai ki jo thaa