SEARCH RESULTS
Showing search results for "يكتا"
Ghazal MATCHES FOR "يكتا"
Ghazal
use kaun dekh saktaa ki yagaana hai vo yaktaa
jo du.ii kii buu bhii hotii to kahii.n do-chaar hotaa
Mirza Ghalib
Ghazal
tuu mirii tarah se yaktaa hai magar mere habiib
jii me.n aataa hai ko.ii aur bhii tujh saa dekhuu.n
Parveen Shakir
Ghazal
ham kahaa.n ke daanaa the kis hunar me.n yaktaa the
be-sabab hu.aa 'Gaalib' dushman aasmaa.n apnaa
Mirza Ghalib
Ghazal
chappe chappe pe hai.n yaa.n gauhar-e-yaktaa tah-e-KHaak
dafn hogaa kahii.n itnaa na KHazaana hargiz
Altaf Hussain Hali
Ghazal
kasrat me.n bhii vahdat kaa tamaashaa nazar aayaa
jis rang me.n dekhaa tujhe yaktaa nazar aayaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
be-misaalii ke hai.n ye rang jo baa-vasf-e-hijaab
be-naqaabii pe tiraa jalva-e-yaktaa kyaa ho
Hasrat Mohani
Ghazal
Muneer Shikohabadi
Ghazal
bistar-e-mashriq se suuraj ne uThaayaa apnaa sar
kis ne ye mahfil me.n zikr-e-husn-e-yaktaa kar diyaa
Ehsan Danish
Ghazal
ham ishq me.n hai.n fard to tum husn me.n yaktaa
ham saa bhii nahii.n ek jo tum saa nahii.n ko.ii
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
Nooh Narvi
Ghazal
gul Galat laala Galat mahr Galat maah Galat
ko.ii saanii nahii.n laa-saanii hai yaktaa hai vo ruKH
Haidar Ali Aatish
Ghazal
vo husn me.n kaamil hai.n to ham sabr me.n yaktaa
taa umr kabhii zikr bhii un kaa na kare.nge