SEARCH RESULTS
Showing search results for "बग़ल"
Ghazal MATCHES FOR "बग़ल"
Ghazal
bhulaa hii baiThe jab ahl-e-haram to ai 'majruuh'
baGal me.n ham bhii liye ik sanam kaa haath chale
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
usii tilism-e-kuhan me.n asiir hai aadam
baGal me.n us kii hai.n ab tak butaan-e-ahd-e-atiiq
Allama Iqbal
Ghazal
har vaqt ik KHumaar thaa har dam suruur thaa
botal baGal me.n thii ki dil-e-naa-subuur thaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
nikle mirii baGal se vo aise ta.Dap ke saath
yaad aa gayaa mujhe vahii.n be-iKHtiyaar dil
Dagh Dehlvi
Ghazal
shab-e-vasl thii chaa.ndnii kaa samaa.n thaa
baGal me.n sanam thaa KHudaa mehrbaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ulfat kaa lutf kyaa jo baGal hii na garm ho
vo dil me.n rahne vaale hamaare hu.e to kyaa
Ahmad Husain Mail
Ghazal
sher aashiq aaj ke din kyuu.n raqiibaa.n pe na ho.n
yaar paayaa hai baGal me.n KHaana-e-KHurshiid hai
Abroo Shah Mubarak
Ghazal
shaayad kaso ke dil ko lagii us galii me.n choT
merii baGal me.n shiisha-e-dil chuur ho gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
gar hai ye be-qaraarii to rah chukaa baGal me.n
do roz dil hamaaraa mehmaan hai hamaaraa
Meer Taqi Meer
Ghazal
tujh ko laa.e ghar me.n jannat ko jalaayaa rashk se
ham-baGal tujh se hu.e pahluu dabaayaa huur kaa
Ameer Minai
Ghazal
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
raat sohbat gul se din ko ham-baGal KHurshiid se
rashk agar kiije to rashk-e-baKHt-e-shabnam kiijiye
Haidar Ali Aatish
Ghazal
kuchh nahii.n yaad ki shab raqs kii mahfil me.n 'zafar'
ham judaa kis se hu.e kis se baGal-giir hu.e
Sabir Zafar
Ghazal
pahraa diyaa hai daulat-e-bedaar-e-husn kaa
so.e jo vo baGal me.n to jaagaa miraa nasiib
Hasan Barelvi
Ghazal
kaifiyat-e-bahaar jo yaad aa.ii zer-e-KHaak
daaG-e-junuu.n se apnii tabii.at bahal ga.ii
Mirza Raza Barq
Ghazal
niimcha yaar ne jis vaqt baGal me.n maaraa
jo cha.Dhaa mu.nh use maidaan-e-ajal me.n maaraa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ba-ra.ng-e-buu huu.n gulshan me.n mai.n bulbul
baGal Gunche ke meraa aashiyaa.n hai