SEARCH RESULTS
Showing search results for "ailaan"
Ghazal MATCHES FOR "ailaan"
Ghazal
aate jaate pal ye kahte hai.n hamaare kaan me.n
kuuch kaa ailaan hone ko hai tayyaarii rakho
Rahat Indori
Ghazal
har tarah ke jazbaat kaa elaan hai.n aa.nkhe.n
shabnam kabhii sho.ala kabhii tuufaan hai.n aa.nkhe.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
hamii.n ne kar diyaa elaan-e-gumrahii varna
hamaare piichhe bahut log aane vaale the
Waseem Barelvi
Ghazal
Hafeez Merathi
Ghazal
elaan-e-haq me.n KHatra-e-daar-o-rasan to hai
lekin savaal ye hai ki daar-o-rasan ke ba.ad
Kaifi Azmi
Ghazal
fasiile.n to.D na dete jo ab ke ahl-e-qafas
tuu aur tarah kaa elaan-e-jabr aa jaataa
Parveen Shakir
Ghazal
Meeraji
Ghazal
na.e safar kaa jo elaan bhii nahii.n hotaa
to zinda rahne kaa armaan bhii nahii.n hotaa
Rahat Indori
Ghazal
hoshiyaarii dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Ghazal
muflis ke badan ko bhii hai chaadar kii zaruurat
ab khul ke mazaaro.n pe ye elaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Ghazal
saamne tere karuu.n haar kaa apnii elaan
aur akele me.n tirii jiit se inkaar karuu.n
Nida Fazli
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ab bhii elaan-e-sahar kartaa hu.aa mast ko.ii
daaG-e-dil kar ke farozaa.n sar-e-shaam aataa hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
tum apne aap par ehsaan kyuu.n nahii.n karte
kiyaa hai ishq to elaan kyuu.n nahii.n karte
Madan Mohan Danish
Ghazal
ishq me.n 'miir' ke aadaab na barto ki yahaa.n
kaam chaltaa nahii.n ailaan-e-mohabbat ke baGair
Irfan Siddiqi
Ghazal
kuchh ishq ke nisaab me.n kamzor ham bhii hai.n
kuchh parcha-e-savaal bhii aasaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Ghazal
mustaqbil-e-insaan ne e'laan kiyaa hai
aa.inda se be-taaj rahegaa sar-e-daaraa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mai.n us kii zaat se munkir thaa aur phir ik din
vo apne hone kaa elaan kar gayaa mujh me.n
Rehman Faris
Ghazal
har dam terii maalaa japte hai.n lekin
galiyo.n kuucho.n me.n elaan nahii.n karte