SEARCH RESULTS
Showing search results for "almaas"
Ghazal MATCHES FOR "almaas"
Ghazal
jauharii band kiye jaate hai.n baazaar-e-suKHan
ham kise bechne almaas-o-guhar jaa.e.nge
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
vo jhuuTe motiyo.n kii chamak par phisal ga.ii
mai.n haath me.n liye hu.e almaas rah gayaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
qsimat-e-shaa.ir-e-siimaab-sifat dasht kii maut
qiimat-e-reza-e-almaas-e-hunar sannaaTaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
na puuchh nusKHa-e-marham jaraahat-e-dil kaa
ki us me.n reza-e-almaas juzv-e-aazam hai
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
zaKHm ko siite hai.n sab par sozan-e-almaas se
chaak siine ke silaanaa ko.ii ham se siikh jaa.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ai zaKHm-e-jigar suuda-e-almaas se KHuu kar
kitnaa vo mazaa thaa jo namak-daan me.n dekhaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
billor kii chamke.n hai.n na almaas kii jhamke.n
us gore se siine kii safaa aur hii kuchh hai
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
chaahe.n gar chaara jaraahat kaa mohabbat vaale
beche.n almaas o namak sa.ng-e-jaraahat vaale
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
hai jaraahat kaa mirii sauda-e-almaas ilaaj
faa.eda us ko kabhii sa.ng-e-jaraahat na kare
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
kyuu.n zahr banaa us kaa tabassum mere haq me.n
ai 'naqsh' vo ik dost thaa almaas nahii.n thaa
Naqsh Layalpuri
Ghazal
aqiiq gauhar-o-almaas niilam-o-yaaquut
ye sab nagiine ye kankar usii se milte hai.n
Akbar Masoom
Ghazal
hamaarii shauq-raaho.n par kabhii dekhegii duniyaa
tumhaare pattharo.n kaa gauhar o almaas honaa
Jaleel 'Aali'
Ghazal
safaa.ii us kii jhalaktii hai gore siine me.n
chamak kahaa.n hai ye almaas ke nagiine me.n