SEARCH RESULTS
Showing search results for "faraaz"
Ghazal MATCHES FOR "faraaz"
Ghazal
sunaa hai raat use chaa.nd taktaa rahtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
is kii vo jaane use paas-e-vafaa thaa ki na thaa
tum 'faraaz' apnii taraf se to nibhaate jaate
Ahmad Faraz
Ghazal
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'faraaz'
zaalim ab ke bhii na ro.egaa to mar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Ghazal
abhii kuchh aur karishme Gazal ke dekhte hai.n
'faraaz' ab zaraa lahja badal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
paagal hu.e jaate ho 'faraaz' us se mile kyaa
itnii sii KHushii se ko.ii mar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Ghazal
lo phir tire labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad-'faraaz' tujh se kahaa naa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
vo hame.n bhuul gayaa ho to ajab kyaa hai 'faraaz'
ham ne bhii mel-mulaaqaat kii koshish nahii.n kii
Ahmad Faraz
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
ai jaan-e-'faraaz' itnii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ki tum ho
Ahmad Faraz
Ghazal
vo log ab kahaa.n hai.n jo kahte the kal 'faraaz'
he he KHudaa-na-karda tujhe bhii rulaa.e.n ham