SEARCH RESULTS
Showing search results for "khilaune"
Ghazal MATCHES FOR "khilaune"
Ghazal
tum maa.ng rahe ho mire dil se mirii KHvaahish
bachcha to kabhii apne khilaune nahii.n detaa
Abbas Tabish
Ghazal
hai paash paash magar phir bhii muskuraataa hai
vo chehra jaise ho TuuTe hu.e khilaune kaa
Javed Akhtar
Ghazal
KHariidnaa hai to dil ko KHariid le fauran
khilaune TuuT bhii jaate hai.n aazmaate hu.e
Rehman Faris
Ghazal
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
chand rishto.n ke khilaune hai.n jo ham khelte hai.n
varna sab jaante hai.n kaun yahaa.n kis kaa hai
Meraj Faizabadi
Ghazal
Abbas Qamar
Ghazal
is tarah guzraa hai bachpan ki khilaune na mile
aur javaanii me.n bu.Dhaape se mulaaqaat hu.ii
Manzar Bhopali
Ghazal
har janam me.n mujhe yaado.n ke khilaune de ke
vo bichha.Dtaa rahaa mujh se miraa bachpan ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal
mai.n ne haatho.n se bujhaa.ii hai dahaktii hu.ii aag
apne bachche ke khilaune ko bachaane ke liye
Shakeel Jamali
Ghazal
qismat ke khilaune hai.n ujaalaa ki a.ndheraa
dil sho.ala-talab thaa so bahar-haal jalii huu.n
Ada Jafarey
Ghazal
Rajesh Reddy
Ghazal
mere haatho.n se khilaune chhiin kar
mujh ko zaKHmo.n kii kahaanii de gayaa
Kafeel Aazar Amrohvi
Ghazal
Amjad Islam Amjad
Ghazal
baiThte jab hai.n khilaune vo banaane ke liye
un se ban jaate hai.n hathiyaar ye qissa kyaa hai