SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaisar"
Ghazal MATCHES FOR "qaisar"
Ghazal
tum aa.nkh muu.nd ke pii jaa.o zindagii 'qaisar'
ki ek ghuu.nT me.n mumkin hai bad-maza na lage
Qaisarul Jafri
Ghazal
kis ko patthar maaruu.n 'qaisar' kaun paraayaa hai
shiish-mahal me.n ik ik chehraa apnaa lagtaa hai
Qaisarul Jafri
Ghazal
kam se kam ret se aa.nkhe.n to bache.ngii 'qaisar'
mai.n havaa.o.n kii taraf piiTh kiye baiThaa huu.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
kisii ke saath ga.ii.n dil kii dha.Dkane.n 'qaisar'
phir is ke baa'd mohabbat kaa haadisa na hu.aa
Qaisarul Jafri
Ghazal
'qaisar' kii Gazal se bhii na TuuTii ye rivaayat
is shahr me.n naa-qadri-e-fan kam nahii.n hotii
Qaisarul Jafri
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
saavan ek mahiine 'qaisar' aa.nsuu jiivan bhar
in aa.nkho.n ke aage baadal be-auqaat lage
Qaisarul Jafri
Ghazal
ye nafsiyaatii mariizo.n kaa shahr hai 'qaisar'
ko.ii savaal uThaa.oge maare jaa.oge
Zubair Qaisar
Ghazal
Qaisar hayat
Ghazal
ye vaqt band dariicho.n pe likh gayaa 'qaisar'
mai.n jaa rahaa huu.n miraa intizaar mat karnaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
merii aa.nkho.n ko mirii shakl dikhaa de ko.ii
kaash mujh ko miraa ehsaas dilaa de ko.ii
Nazeer Qaisar
Ghazal
shaa.erii pahle rasuulo.n kii du.aa thii 'qaisar'
aaj is ahd me.n ik sho.abda-e-zaat hu.ii
Qaisarul Jafri
Ghazal
tum to kahte the KHudaa tum se KHafaa hai 'qaisar'
Duubte vaqt vo jo ik haath ba.Dhaa thaa kyaa thaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
dosto.n ne mujhe vo daaG diye hai.n 'qaisar'
vo bhii aa jaa.e.n to darvaaza na kholuu.n pahle
Qaisarul Jafri
Ghazal
'qaisar' qalam kii aag kaa ehsaanmand huu.n
jab u.ngliyaa.n jalii.n to Gazal aa ga.ii mujhe
Qaisarul Jafri
Ghazal
tishnagii kab ke gunaaho.n kii sazaa hai 'qaisar'
vo ku.aa.n suukh gayaa jis pe musaafir Thahre