SEARCH RESULTS
Showing search results for "raagnii"
Ghazal MATCHES FOR "raagnii"
Ghazal
mai.n Gam kii raagnii be-vaqt bhii agar chhe.Duu.n
zabaan-e-vaqt mujhe vaqt kaa imaam kahe
Kaleem Aajiz
Ghazal
tuu ek saaz hai chhe.Daa nahii.n kisii ne jise
tire badan me.n chhupii narm raagnii kii qasam
Sahir Ludhianvi
Ghazal
us nazar kii us badan kii gungunaahaT to suno
ek sii hotii hai har ik raagnii ye mat kaho
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
razm-gaah-e-jahaa.n ban ga.ii jaa-e-aman-o-amaa.n
hai yahii vaqt kii raagnii so raho so raho
Nasir Kazmi
Ghazal
ik tinkaa aashiyaana ik raagnii asaasa
ik mausam-e-bahaaraa.n mehmaan do gha.Dii kaa
Majeed Amjad
Ghazal
ho chuke 'haalii' Gazal-KHvaanii ke din
raagnii be-vaqt kii ab gaa.e.n kyaa
Altaf Hussain Hali
Ghazal
phir tirii aavaaz ke dhoke me.n khi.Dkii tak ga.e
jhaa.nk kar dekhaa parinda raagnii gaa.e ko.ii
Priyamvada Ilhan
Ghazal
nasiim-e-sub.h ne aa kar vo raagnii chhe.Dii
har ek phuul ne kaa.nTe ko jhuk ke pyaar kiyaa
Ehsan Danish Kandhlvi
Ghazal
KHizaa.n ke zahr kaa tiryaak agar nahii.n yaaro
gulo.n kii baat hai be-vaqt raagnii kii tarah
Akhtar Imam Rizvi
Ghazal
qadam jo rakhtii hai dhartii pe guu.nj uThtii hai
ki jaise saaz baje ko.ii raagnii kii tarah