SEARCH RESULTS
Showing search results for "sifataa.n"
Ghazal MATCHES FOR "sifataa.n"
Ghazal
inhii.n sifaat se hotaa hai aadmii mash.huur
jo lutf aam vo karte ye naam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
mai.n sa.ng-sifat ek hii raste me.n kha.Daa huu.n
shaayad mujhe dekhe.ngii palaT kar tirii aa.nkhe.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
zaat-o-sifaat-e-husn kaa aalam nazar me.n hai
mahduud-e-sajda kyaa miraa zauq-e-jabii.n rahe
Jigar Moradabadi
Ghazal
husn hai zaat mirii ishq sifat hai merii
huu.n to mai.n sham.a magar bhes hai parvaane kaa
Fani Badayuni
Ghazal
jalaa ke mish.al-e-jaa.n ham junuu.n-sifaat chale
jo ghar ko aag lagaa.e hamaare saath chale
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
Saleem Kausar
Ghazal
saaya-e-zaat se bhii ram aks-e-sifaat se bhii ram
dasht-e-Gazal me.n aa ke dekh ham to Gazaal ho ga.e
Jaun Eliya
Ghazal
ko.ii tilismii sifat thii jo is hujuum me.n vo
hu.e jo aa.nkh se ojhal to baar baar dikhe
Gulzar
Ghazal
darvesh-e-KHudaa-mast na sharqii hai na Garbii
ghar meraa na dillii na safaahaa.n na samarqand
Allama Iqbal
Ghazal
lams kii lau me.n pighaltaa hujra-e-zaat-o-sifaat
tum bhii hote to a.ndheraa dekhne kii chiiz thii
Liyaqat Ali Aasim
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
sikhlaa.ii farishto.n ko aadam kii ta.Dap us ne
aadam ko sikhaataa hai aadaab-e-KHudaavandii
Allama Iqbal
Ghazal
merii navaa-e-shauq se shor hariim-e-zaat me.n
GulGula-haa-e-al-amaa.n but-kada-e-sifaat me.n
Allama Iqbal
Ghazal
ya.anii ba-hasb-e-gardish-e-paimaana-e-sifaat
aarif hamesha mast-e-mai-e-zaat chaahiye