aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "2 3 ebooks"
1jab aa.nkh khol ke dekhaa to ho gayaa mastuurye meraa diida-e-biinaa hii ik hijaab hu.aatuu chhup gayaa mah o anjum me.n laala-o-gul me.nhar ek jalva-e-ra.ngii.n tiraa naqaab hu.aajab aa.nkh band hu.ii tuu hii jalva-aaraa thaa2mirii zabaan khulii sharh-e-aashiqii ke liyemiraa bayaa.n thaa muraqqa.a mirii KHajaalat kaahar ek harf me.n thaa Gairiyat kaa afsaanamirii zabaa.n ne kiyaa KHuu.n mirii mohabbat kaamire sukuut me.n tuufaan-e-ishq barpaa thaa3mire havaas rahe tere vasl me.n haa.iljo be-KHudii me.n hu.aa Garq tuu milaa mujh koajiib shai hai mohabbat me.n KHud-faraamoshiifanaa hu.aa to milii lazzat-e-baqaa mujh komiraa vajuud hii ai dost ek parda thaa
gulaabii daur me.nvo apne fan kaa shaahzaada thaafazaa-e-aariz-o-chashm-o-lab-o-gesuu kaa shaidaa.iivo uryaa.nniim-uryaa.n jism kii qaus-e-quzahun kaa ta.assurun kii bijliiapnii tasviiro.n me.n bhartaa thaahasiino.n ke dilo.n me.n vo thaaKHud bhii un pe martaa thaause us daur me.nizzat miliidaulat milii lekindil-e-ruumaan-parvar me.nko.ii sho.ala saa bhii mahsuus kartaa thaa!2musavvir hii ke naateus kaa ''shash-pahluu'' tasavvurek sho.ala thaaki jis ne fan kaa vo pichhlaa tasavvur KHaak kar Daalaavo tasviiro.n me.ntajriidii tasavvur zindagaanii kaaba.Dii KHuubii se bhartaa thaadikhaa.ii dene vaalaa ik nayaa sa.ngiit detaa thaa3vo janib-daar thaaaur saaf kahtaa thaaki jab insaaniyattahziibaur aalaa-tariin qadre.nghirii ho.n saKHt KHatro.n me.nto ik fankaar par bhii ye bataanaa farz hotaa haiki vo kis kii taraf haifan kaa us se kyaa taqaazaa hai4''pikaaso'' mar gayaaye sog hai lekin''pikaaso'' ab bhii zinda haivo apne shah-kaaro.n me.nusii andaaz se khoyaa hu.aa haiaur kahtaa hai:mai.n zinda huu.ndilo.n ke dard kobechainiyo.n koiztiraاbiyo.naur aaho.n kokahii.n ik ''manzil-e-zinda'' se pahle maut aatii hai
1potii se daadii ban.ne ke lambe safar me.naisaa ko.ii pa.Daav nahii.n aaya thaa jis parruk ke taaza dam hone kiisuukhii so.ndhii payaal pe pa.D kemiiThe miiThe sapno.n me.n so jaane kii mohlat miltiiab manzil par aa ke thak ke chuur pa.Dii vomiiThe sapno.n me.n so jaane kii koshishkarte karte kyaa behaal hu.ii jaatii haikhaa.ns khaa.ns ke saarii raat guzar jaatii hai2bhare-pure mahlo.n jaise is ghar kaaik ik kamraapne apne naam se ab reserve karaa rakkhaa hai sabho.n nevo jo barsaatii me.n biitii yaade.n o.Dh ke leTaaapne din gintaa hainame plate pe ghar ke usii buu.Dhe kaa naamlikhaa hu.aa hai ba.De ba.De harfo.n me.n3rasta bilkul saaf haipuKHta siidhii sa.Dak hainiile vaale baaG ke phuulo.n se milne rozaanajaayaa jaa saktaa hai lekin kaisesoch ke hii pairo.n me.n ai.nThan hone lagtii haiaur dam be-dam hone lagtaa hai4betaabi se Dhuu.nD rahaa hai kaise paa.egaa abvo sab kuchh jo chho.D gayaa thaana.e na.e saamaano.n se ghar chhat tak aTaa pa.Daa haipahle jo rakkhaa thaa yahaa.n vo un me.n dab karTuuT ke chaknaa-chuur hu.aa yaa ko.ii kabaa.Diisaste daamo.n le ke gayaa ye kaun bataa.etaal pe us ke laa.e hu.e stereo music system kesab thirak rahe hai.naise shor-sharaabe me.n ab us kii kaun sunegaapahle ghar vaalo.n se i s D parminto.n kaa hii raabta ik qaa.em to ho jaataa thaa
tum patang ban ke havaa.o.n me.n tairtii phiroaur Dor mire haatho.n ko kaaTtii rahepar par zaKHmii aur aa.nkhe.n tere rango.n me.n uljhii rahe.nlahuu bahtaa raheaur aas tujhe chaahne kiiaasmaan ban ke tire chaaro.n taraf bikhar jaa.eshaam utre to terii aa.nkho.n kaa rangmujhe apnii panaah me.n sameT leaur terii raaho.n par meraa ik ik lams bikher deterii raaho.n kaa kuchh pataa to hogaaaur tere vaqt kii ko.ii manzil to hogii jaan(2)ek mai.n tanhaa ek vo tanhaaek vo jis se mai.n tumhaarii kathaa kahtaa huu.nek vo jo kisii kii kathaa se mujh me.n zindaaur tum tanhaalo ye bhii ko.ii baat hu.ii tum ne kahaahaa.n ye baate.n aur in baato.n ke nukiile ku.ngrejab terii jaan me.n aTakte hai.nto tumhaare naaKHuno.n me.n aisii shafaq dahaktii haijo sun na sake kuchh kah na saketab merii uma.ngo.n par ik aag lahraatii haiaur mai.n tujhe un KHud-rav ja.ngalii phuulo.n se tashbiih detaa huu.njo sirf apnii vahshat me.n zinda rahte hai.n(3)zaKHm khul ga.e hai.n jaanaa.naur havaa.e.n chaaro.n taraf se umDii pa.Dii hai.n
(1)mausam-e-sarmaa kii ThiThuraatii hu.ii shaam-e-hazii.nchoTiyo.n par barf kii ik laashsaare pe.D nange TunD-munDsahn me.n vo charmaraate bhuure patto.n kaa kafanek sannaaTaavo ik Tahnii ta.DaKH kar gir pa.Diiik saa.ns TuuTaa(2)mai.n ne kal hii apne buu.Dhe baap ke ThanDe badan koGusl de ke apne haatho.nkaalii dhartii ke dahaane me.n utaaraaki yahii hai rasmmai.n zinda bhii paamaal-e-rusuumzindagii me.n vo chaTaktii raushnii kaa ek miinaar-e-bulandus kii kirno.n ne hazaaro.n qumqume raushan kiyeaur ye rasm-e-zamaanaumr-bhar jo duusro.n ko raushnii detaa rahaaik a.ndherii qabr is ke vaaste(3)aane vaale mausamo.n me.n sai.nka.Do.n hii Tahniyaa.n phuuTe.ngiilekin jis jagah us pe.D se ye shaaKH TuuTiivo nishaa.n ik daa.era ban kar rahegaamai.n ne jin haatho.n se apne baap ke ThanDe badan kokaalii dhartii ke dahaane me.n utaaraaus kii poro.n se vo buu.Dhii dha.Dkane.n qirtaas par bahtii rahe.ngii
1ek thii chi.Diyaaek thaa kavvaaek thii mainaaek thaa totaaek thii billiiek thaa kuttaaek thii murGiiek thaa bakraachi.Diyaa kavvaamainaa totaabillii kuttaamurGii bakraaye sab saath rahaa karte thedukh-sukh saath sahaa karte the2achchhii chi.Diyaa bholii bholiiik din in sab se boliiaa.o chal kar kaam kare.n kuchhkaam kare.n kuchh naam kare.n kuchhKHaalii rah kar vaqt na kho.e.nkhet me.n chal kar gehuu.n bo.e.njab ye sab gehuu.n pak jaa.e.ntab ham sab mil jal kar khaa.e.n3chi.Diyaa kii jab baat sunii yekavvaa bolaa mai.n nahii.n botaamainaa bolii mai.n nahii.n botiitotaa bolaa mai.n nahii.n botaabillii bolii mai.n nahii.n botiikuttaa bolaa mai.n nahii.n botaamurGii bolii mai.n nahii.n botiibakraa bolaa mai.n nahii.n botaasab ne kahaa jab ham nahii.n botechi.Diyaa ne vo aap hii boyaa4tho.De dino.n me.n vaqt vo aayaakhet ye gehuu.n kaa phal laayaachi.Diyaa bolii chal kar kaaTe.ngehuu.n se ghar apnaa paaTe.nun sab ne jab kaam sunaa yekavvaa bolaa mujh se na hogaamainaa bolii mai.n na karuu.ngiitotaa bolaa mujh se na hogaabillii bolii mai.n na karuu.ngiikuttaa bolaa mujh se na hogaamurGii bolii mai.n na karuu.ngiibakraa bolaa mujh se na hogaajab na kisii ne kaam kiyaa yechi.Diyaa ne khet aap hii kaaTaa5gehuu.n ghar me.n kaaT ke Daalephir sab se yuu.n bolii chi.Diyaaaa.o ye ham chakkii me.n piise.npis kar ye ho jaa.e.nge aaTaachakkii aur aaTe kii sun karun me.n se har ik ghabraayaasab se pahle kavvaa bolaaaaTaa ye mujh se na pisegaamainaa bolii totaa bolaaaaTaa ye mujh se na pisegaamainaa bolii totaa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaabillii bolii kuttaa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaamurGii bolii bakraa bolaaaaTaa ye ham se na pisegaajab na kisii ne piisaa aaTaachi.Diyaa ne vo aap hii piisaa6saare gehuu.n piis chukii vophir un se yuu.n bolii chi.Diyaaaa.o pakaa.e.n mil kar roTiikaam ye ho jaa.e to hai achchhaabaat ye sun kar kavvaa bolaamujh se nahii.n pak saktii ye roTiimainaa bolii totaa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiibillii bolii kuttaa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiimurGii bolii bakraa bolaaham se nahii.n pak saktii ye roTiijab na kisii ne kaam kiyaa yechi.Diyaa ne roTii bhii pakaa lii7roTii jab chi.Diyaa ne pakaa liipuuchhaa kaun ye khaa.egaa roTiikavvaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaasab roTii chaT kar jaa.uu.ngaamainaa bolii mai.n khaa.uu.ngiitotaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaabillii bolii mai.n khaa.uu.ngiikuttaa bolaa mai.n khaa.uu.ngaamurGii bolii mai.n khaa.uu.ngiibakraa bolaa mai.n khaa.uu.ngaasab ne kahaa ham khaa.e.nge roTiisaarii chaT kar jaa.e.nge roTiidil me.n vo na zaraa sharmaa.ejhaT-paT roTii khaane aa.e8ab to un se chi.Diyaa boliiroTii ye tum ko na milegiikaam se tum sab ghabraate hophir ye roTii kyo.n khaate hophir ye roTii kyo.n khaate hobaat ye sun kar sab ghabraa.esab sharmaa.e sab pachhtaa.echi.Diyaa aur sab us ke bachchemil kar khaanaa khaane baiThesab ne mil kar khaanaa khaayaasab ne mil kar gaanaa gaayaakaam kaa phal chi.Diyaa ne paayaakaam ne in kaa kaam banaayaachaa.nd me.n baiThii taaraa raaniiai lo bachcho KHatm kahaanii
hotaa huu.n jab mai.n tanhaa ye sochtaa huu.n aksaraabaadiyaa.n hai.n achchhii yaa ja.ngalo.n ke manzarshaa.ir huu.n mai.n miraa ho maskan alag jahaa.n seshahro.n ke shor-o-Gul se taariik aasmaa.n sesaa.e me.n pe.D ke mai.n bistar lagaa.uu.n apnaaThanDii havaa ho aatii bahtaa ho saaf dariyaara.ngiiniyaa.n shafaq kii dil ko mire lubhaa.e.nshams-o-qamar jahaa.n ke qisse na.e sunaa.e.nqudrat kaa ham-zabaa.n huu.n aur us ke bhed paa.uu.ngahraa.iyo.n me.n us kii goyaa utar mai.n jaa.uu.n2par aql kaa hai kahnaa ye sab Galat hai naadaa.nguu.ngii hai terii qudrat manzar hai.n us ke be-jaa.nbe-kaar hai agar to dasht-o-jabal basaa.ebe-sarfa hai agar to hamdam unhe.n banaa.eshaa.ir tujhe hai.n kahte hai ishq teraa jiinaafitrat hai paak terii hai qalb-e-tuur-e-siinaatuu nuur-e-sarmadii kii hai jhalkiyaa.n dikhaataainsaa.n ko aasmaa.n kii saire.n hai to karaataateraa qalam jahaa.n me.n halchal sii Daaltaa haiDuube ubhaartaa hai girte sambhaaltaa hai3par kyuu.n tujhe ai shaa.ir bastii se hai kuduurataabaadiyo.n me.n pal kar aabaadiyo.n se nafratinsaa.n aur us kii fitrat parkhii nahii.n hai tuu neaalam aur us kii vus.at paa.ii nahii.n hai tuu nemaatam kahii.n bapaa hai KHushiyaa.n kahii.n hai.n hotiiiqbaal hai kahii.n to qismat kahii.n hai sotiijo ik taraf qazaa ke tuufaan aa rahe hai.ntuu ik taraf sahaab-e-rahmat bhii chhaa rahe hai.nteraa hai rutba aalii is bazm-e-zindagii me.naa aa shariik ho jaa is razm-e-zindagii me.naalaam ko ghaTaa de aasaa.ishe.n ba.Dhaa desham-e-suKHan jalaa kar sab zulmate.n haTaa deaa kab se muntazir hai aadam kaa ye gharaanaaaabaad is me.n ho jaa terii yahii hai duniyaa
(1)kas tarah bayaa.n ho tiraa pairaa-e-taqriirgoyaa sar-e-baatil pe chamakne lagii shamshiirvo zor hai ik lafz idhar nutq se niklaavaa.n siina-e-aGyaar me.n paivast hu.e tiirgarmii bhii hai ThanDak bhii ravaanii bhii sakuu.n bhiitaasiir kaa kyaa kahiye hai taasiir hii taasiire.ajaaz usii kaa hai ki arbaab-e-sitam kiiab tak ko.ii anjaam ko pahu.nchii nahii.n tadbiiratraaf-e-vatan me.n hu.aa haq baat kaa shohrahar ek jagah makr-o-riyaa kii hu.ii tash.hiirraushan hu.e ummiid se ruKH ahl-e-vafaa kepeshaanii-e-aadaa pe siyaahii hu.ii tahriir(2)hurriyat-e-aadam kii rah-e-saKHt ke rah-giirKHaatir me.n nahii.n laate KHayaal-e-dam-e-ta.aziirkuchh na.ng nahii.n ranj-e-asiirii ki puraanaamardaan-e-safaa-kesh se hai rishtaa-e-zanjiirkab dabdaba-e-jabr se dabte hai.n ki jin keiimaan o yaqii.n dil me.n kiye rahte hai.n tanviirma.aluum hai un ko ki rihaa hogii kasii dinzaalim ke giraa.n haath se mazluum kii taqdiiraaKHir ko sar-afraaz hu.aa karte hai.n ahraaraaKHir ko giraa kartii hai har jaur kii ta.amiirhar daur me.n sar hote hai.n qasr-e-jam-o-daaraahar ahd me.n diivaar-e-sitam hotii hai tasKHiirhar daur me.n mal.uun shaqaavat hai 'shimar' kiihar ahd me.n mas.uud hai qurbaanii-e-shabbiir(3)kartaa hai qalam apne lab o nutq kii tathiirpahu.nchii hai sar-e-haraf-e-du.aa ab mirii tahriirhar kaam me.n barkat ho har ik qaul me.n quvvathar gaam pe ho manzil-e-maqsuud qadam-giirhar lahza tiraa taale-e-iqbaal sivaa hohar lahza madad-gaar ho tadbiir kii taqdiirhar baat ho maqbuul, har ik bol ho baalaakuchh aur bhii raunaq me.n ba.Dhe shola-e-taqriirhar din ho tiraa lutf-e-zabaa.n aur ziyaadaallaah kare zor-e-bayaa.n aur ziyaada
(1)ai sab se avval aur aaKHirjahaa.n-tahaa.n, haazir aur naazirai sab daanaa.o.n se daanaasaare tavaanaa.o.n se tavaanaaai baalaa, har baalaa-tar sechaa.nd se suuraj se ambar seai samjhe buujhe bin suujhejaane-pahchaane bin buujhesab se anokhe sab se niraaleaa.nkh se ojhal dil ke ujaaleai andho.n kii aa.nkh ke taareai la.ng.De luulo.n ke sahaarenaatiyo.n se chhoTo.n ke naatiisaathiyo.n se bichh.Do.n ke saathiinaav jahaa.n kii khene vaaledukh me.n tasallii dene vaalejab ab tab tujh saa nahii.n ko.iitujh se hai.n sab tujh saa nahii.n ko.iijot hai terii jal aur thal me.nbaas hai terii phuul aur phal me.nhar dil me.n hai teraa baseraatuu paas aur ghar duur hai teraaraah tirii dushvaar aur suk.Diinaam tiraa rah-giir kii lak.Diituu hai Thikaanaa miskiino.n kaatuu hai sahaaraa Gamgiino.n kaatuu hai akelo.n kaa rakhvaalaatuu hai a.ndhere ghar kaa ujaalaalaaguu achchhe aur bure kaaKHvaahaa.n khoTe aur khare kaabed niraase biimaaro.n kaagaahak mande baazaaro.n kaasoch me.n dil bahlaane vaalebiptaa me.n yaad aane vaale(2)ai be-vaaris gharo.n ke vaarisbe-baazuu be-paro.n ke vaarisbe-aaso.n kii aas hai tuu hiijaagte sote paas hai tuu hiibas vaale hai.n yaa be-bas hai.ntuu nahii.n jin kaa vo be-kas hai.nsaathii jin kaa dhyaan hai teraadusraayat kii vahaa.n nahii.n parvaadil me.n hai jin ke terii ba.Daa.iiginte hai.n vo parbat ko raa.iibekas kaa Gam-KHvaar hai tuu hiiburii banii kaa yaar hai tuu hiidukhiyaa dukhii yatiim aur bevatere hii haath un sab kaa hai khevaatuu hii maraz de tuu hii davaa detuu hii davaa-daaruu me.n shifaa detuu hii pilaa.e zahr ke pyaaletuu hii phir amrit zahr me.n Daaletuu hii dilo.n me.n aag lagaa.etuu hii dilo.n kii lagii bujhaa.echumkaare chumkaar ke maaremaare maar ke phir chumkaarepyaar kaa tere puuchhnaa kyaa haimaar me.n bhii ik terii mazaa hai(3)ai rahmat aur haibat vaaleshafqat aur dabaaGat vaaleai aTkal aur dhyaan se baaharjaan se aur pahchaan se baaharaql se ko.ii paa nahii.n saktaabhed tire hukmo.n me.n hai.n kyaa kyaaek ko tuu ne shaad kiyaa haiek ke dil ko daaG diyaa haius se na teraa pyaar kuchh aisaaus se na tuu bezaar kuchh aisaahar dam terii aan na.ii haijab dekho tab shaan na.ii haiyahaa.n pachhu.aa hai vahaa.n purvaa haighar ghar teraa hukm nayaa haiphuul kahii.n kumlaa.e hu.e hai.naur kahii.n phal aa.e hu.e hai.nkhetii ek kii hai lahraatiiek kaa har dam KHuun sukhaatiiek pa.De hai.n dhan ko Dubo.eek hai.n gho.De bech ke so.eek ne jab se hosh sambhaalaara.nj se us ko pa.Daa na paalaaek ne is janjaal me.n aa karchain na dekhaa aa.nkh uThaa karme.nh kahii.n daulat kaa hai barastaahai ko.ii paanii tak ko tarastaaek ko marne tak nahii.n deteek uktaa gayaa lete letehaal Garaz duniyaa kaa yahii haiGam pahle aur baa'd KHushii haira.nj kaa hai duniyaa ke gilaa kyaatohfa yahii le de ke hai yaa.n kaayahaa.n nahii.n bantii ranj sahe binra.nj nahii.n sab ek se lekinek se yahaa.n ranj ek hai baalaaek se hai dard ek niraalaaghaav hai go naasuur kii suuratpar use kyaa naasuur se nisbattap vahii diq kii shakl hai lekindiq nahii.n rahtii jaan liye bindiq ho vo yaa naasuur ho kuchh hode na jo ab ummiid kisii koroz kaa Gam kyuu.n-kar sahe ko.iiaas na jab baaqii rahe ko.iituu hii kar insaaf ai mire maulaakaun hai jo be-aas hai jiitaago ki bahut bande hai.n pur-armaa.nkam hai.n magar maayuus hai.n jo yaa.nKHvaah dukhii hai KHvaah sukhii haijo hai ik ummiid us ko ba.ndhii haikhetiyaa.n jin kii kha.Dii hai.n suukhiiaas vo baa.ndhe baiThe hai.n me.nh kiighaTaa jin kii asaa.Dii me.n haisaavanii kii ummiid nahii.n haiDuub chukii hai un kii agetiidetii hai Dhaaras un ko pachhetiiek hai is ummiid pe jiitaaab hu.ii beTii ab hu.aa beTaaek ko jo aulaad milii haius ko uma.ng shaadiyo.n kii haira.nj hai yaa qismat me.n KHushii haikuchh hai magar ik aas ba.ndhii haiGam nahii.n un ko Gamgii.n hai.njo dil naa-umiid nahii.n hai.nkaal me.n kuchh saKHtii nahii.n aisiikaal me.n hai jab aas samay.n kiisahal hai maujo.n se chhuTkaaraajab ki nazar aataa hai kinaaraapar nahii.n uTh saktii vo musiibataa.egii jis ke baa'd na raahatshaad ho us rah-giir kaa kyaa dil?mar ke kaTegii jis kii manzilun uj.Do.n ko kal pa.De kyuu.n-karghar na basegaa jin kaa janam bharun bichh.Do.n kaa kyaa hai Thikaanaa?jin ko na milne degaa zamaanaab ye balaa Taltii nahii.n Taaliimujh pe hai jo taqdiir ne Daaliiaa.ii.n bahut duniyaa me.n bahaare.naish kii ghar ghar pa.Dii.n pukaare.npa.De bahut baaGo.n me.n jhuuleDhaak bahut jangal me.n phuulega.ii.n aur aa.e.n chaa.ndnii raate.nbarsii.n khulii.n bahut barsaate.npar na khilii hargiz na khilegiivo jo kalii murjhaa.ii thii dil kiiaas hii kaa bas naam hai duniyaajab na rahii yahii to rahaa kyaa?aise bidesii kaa nahii.n Gam kuchhjis ko na ho milne kii qasam kuchhronaa un ban-baasiyo.n kaa haides nikaalaa jin ko milaa haihukm se tere par nahii.n chaaraka.Dvii miiThii sab hai gavaaraazor hai kyaa patte kaa havaa parchaahe jidhar le jaa.e u.Daa kartinkaa ik aur saat samundarjaa.e kahaa.n maujo.n se nikal karqismat hii me.n jab thii judaa.iiphir Taltii kis tarah ye aa.ii?aaj kii big.Dii ho to bane bhiiazal kii big.Dii KHaak banegiituu jo chaahe vo nahii.n Taltaabande kaa yaa.n bas nahii.n chaltaamaare aur na de tuu ronethapke aur na de tuu soneThahre ban aatii hai na bhaageterii zabardastii ke aagetujh se kahii.n gar bhaagnaa chaahe.nband hai.n chaaro.n khuu.nT kii raahe.ntuu maare aur KHvaah navaazepa.Dii hu.ii huu.n mai.n tere darvaazetujh ko apnaa jaantii huu.n mai.ntujh se nahii.n to kis se kahuu.n mai.nmaa.n hii sadaa bachche ko maareaur bachcha maa.n maa.n hii pukaare(4)ai mire zor aur qudrat vaalehikmat aur hukuumat vaalemai.n lau.nDii terii dukhyaaredarvaaze kii terii bhikaariimaut kii KHvaahaa.n jaan kii dushmanjaan apnii hai aap ajiiranapne paraa.e kii dhutkaariimaike aur sasuraal pe bhaariisah ke bahut aazaar chalii huu.nduniyaa se bezaar chalii huu.ndil par mere daaG hai.n jitnemu.nh me.n bol nahii.n hai.n utnedukh dil kaa kuchh kah nahii.n saktiiis ke sivaa kuchh kah nahii.n saktiitujh pe hai raushan sab dukh dil kaatujh se haqiiqat apnii kahuu.n kyaabyaah ke dam paa.ii thii na lenelene ke yaa.n pa.D ga.e deneKHushii me.n bhii dukh saath na aayaaGam ke sivaa kuchh haat na aayaaek KHushii ne Gam ye dikhaa.eek ha.nsii ne gul hii khilaa.ekaisaa thaa ye byaah ninaavaa.njuu.nhii pa.Daa is kaa parchaavaa.nchain se rahne diyaa na jii kokar diyaa maliyaameT KHushii koro nahii.n saktii ta.ng huu.n yaa.n takaur ro.uu.n to ro.uu.n kahaa.n takha.ns ha.ns dil bahlaa.uu.n kyuu.n-karoso.n pyaas bujhaa.uu.n kyuu.n-karek kaa kuchh jiinaa nahii.n hotaaek na ha.nstaa bhalaa na rotaaleTe gar sone ke bahaanepaa.entii kal hai aur na sirhaanejaagiye to bhii ban nahii.n pa.Dtiijaagne kii aaKHir ko.ii had bhiiab kal ham ko pa.Degii mar kargor hai suunii sej se behtarbaat se nafrat kaam se vahshatTuuTii aas aur bujhii tabii.ataabaadii jangal kaa namuunaduniyaa suunii aur ghar suunaadin hai bhayaanak aur raat Daraaniiyuu.n guzrii saarii ye javaaniibahne.n aur bahneliyaa.n meriisaath kii jo thii.n kheliyaa.n meriimil na sakii.n jii khol ke mujh seKHush na hu.ii.n ha.ns bol ke mujh sejab aa.ii.n ro-dho ke ga.ii.n vojab ga.ii.n be-kal ho ke ga.ii.n voko.ii nahii.n dil kaa bahlaavaaaa nahii.n chuktaa meraa bulaavaaaaTh pahar kaa hai ye julaapaakaaTuu.ngii kis tarah ra.nDaapaathak ga.ii dukh sahte sahtetham ga.e aa.nsuu bahte bahteaag khulii dil kii na kisii parghul ga.ii jaan andar hii andardekh ke chup jaanaa na kisii nejaan ko phuu.nkaa dil kii lagii nedabii thii bhobhal me.n chi.ngaariilii na kisii ne KHabar hamaariiqaum me.n vo KHushiyaa.n biyaaho.n kiishahr me.n vo dho.e.n saaho.n kiityauhaaro.n kaa aa.e din aanaaaur sab kaa tyauhaar manaanaavo chait aur phaagun kii havaa.e.nvo saavan bhaado.n kii ghaTaa.e.nvo garmii kii chaa.ndnii raate.nvo armaan bharii barsaate.nkis se kahuu.n kis taur se kaaTe.nKHair kaTe.n jis taur se kaaTe.nchaav ke aur KHushiyo.n ke samay sabaate hai.n KHush kal jaan ko ho jabra.nj me.n hai.n saamaan KHushii keaur jalaane vaale hii keghar barkhaa aur piyaa bidesiiaa.iyo barkhaa kahii.n na aisiidin ye javaanii ke kaTe aisebaaG me.n panchhii qaid ho jaiserut ga.ii saarii sar Takraateu.D na sake par hote saarekisii ne hogii kuchh kal paa.iimujhe to shaadii raas na aa.iiaas ba.ndhii lekin na milaa kuchhphuul aayaa aur phal na lagaa kuchhrah gayaa de kar chaa.nd dikhaa.iichaa.nd hu.aa par iid na aa.iiphal kii KHaatir barchhii khaa.iiphal na milaa aur jaan ga.nvaa.iiret me.n zarre dekh chamaktedau.D pa.Dii me.n jhiil samajh kechaaro.n khuu.nT nazar dau.Daa.iipar paanii kii buu.nd na paa.ii
kahii.n ko.npalo.n ko nikhaartaa hai vo lazzat-e-nam-e-shaaKH sekahii.n muu-qalam se sa.nvaartaa hai gulo.n me.n rang na.e na.ekabhii baKHshaa hai dilo.n ko dard kii jaa.n-gudaaz lataafate.nko.ii rang ho ko.ii ruup hoko.ii shakl ko.ii mizaaj hosabhii us ke chaak se aa.e hai.n2ye saarii baate.n sach hii sahiiye saare gumaan durust sahiipar ye to kahoqadmo.n tale rau.nde patto.n kii aavaaz sunii hai tum ne kabhiimurjhaa.e hu.e phuulo.n se kabhii biitii hu.ii rut kii baat hu.iikabhii KHauf-zada naKHchiiro.n kii aa.nkho.n me.n jhaa.nk ke dekhaa haikabhii dukhte dilo.n kii us dha.Dkan us dahshat me.n bhii shariik hu.ejo hote hu.e bhii na hone ke ehsaas se paidaa hotii haiphaTii puraanii shaklo.n vaaleye apaahij ye ma.azuur za.iifye TuuTe phuuTe khilaune bhiiusii chaak se aa.e hai.n ki nahii.nkal jin kii hayaat thii barq-aasaapaivand-e-KHas-o-KHaashaak hu.ejinhe.n dekh ke aa.nkhe.n raushan thii.npinhaa.n pas-e-parda-e-KHaak hu.evo naqsh-gar-e-kaamil hai to phirjo naqsh-e-jamiil banaataa haijo dard dilo.n me.n jagaataa haiuse Gaarat kyuu.n kar detaa haifankaar-e-azal ko kyaa apne kisii naqsh pe itminaan nahii.n3aadmii-zaade kisii rang kisii naqsh kaa paaband na hoziist Thahraa hu.aa jouha.D nahii.n mavvaaj-o-ravaa.n dariyaa haituu hai ik Thahre hu.e pal me.n talabgaar-e-davaamye davaam asl me.n hai be-hisi-e-marg kaa naamaadmii-zaade tire rishte hai.n baadal kii tarahghir ke aate hai.n baraste hai.n guzar jaate hai.nyuu.n bhii hotaa hai ki kuchh der Thahar jaate hai.nyuu.n bhii hotaa hai ki bin barse bikhar jaate hai.ntuu kisii rishte kisii abr kaa paaband na hotuu ki hai TuuTe khilaune ke liye girya-kunaa.ndekh ye KHaak ke paikar to faqat shakl badal lete hai.ninhii TuuTe hu.e bekaar khilauno.n kii ye miTTii phir seziist ke chalte hu.e chaak ke kaam aatii haiphir na.e ruup me.n Dhal jaatii haijaane vaalo.n ke liyemiTte ra.ngo.n ke liye TuuTe khilauno.n ke liyeteraa har nauha bajaa hai lekinaane vaalo.n kaa banaav bhii to dekhtaaza ko.npal kii nazaakat me.n tanaav bhii to dekhki vo fankaar-e-azalaaj bhii apne usii chaak pe hai
kyuu.n na ab tum se tasavvur me.n karuu.n baat suno tum se ye kahnaa hai mujhetum kahogii nahii.n mai.n vaj.h-e-suKHan jaan ga.iiyaad se terii hii ma.amuur hai.n din-raat ye kahnaa hai mujhetum kahogii ki mai.n hastii ko kafan maan ga.iiraah-e-ulfat me.n kabhii hogaa tiraa saath ye kahnaa hai mujhetum kahogii mai.n zamaane kaa chalan jaan ga.iikaun badlegaa ye haalaat ye kahnaa hai mujhetum kahogii mai.n unhe.n daar-o-rasan maan ga.iizindagii ye hai to marnaa bhii hai baaraat ye kahnaa hai mujhetum kahogii ki ye mai.n soKHta-tan jaan ga.ii2mai.n zamaane ke huu.n aa.iin kaa paaband ye kahnaa hai mujhetum kaho dekho ki ye marg-e-abad hai ki nahii.nhaa.n mai.n is pe huu.n razaa-mand ye kahnaa hai mujhetum kaho jaur-e-zamaa.n kii ko.ii had hai ki nahii.nmujh pe har raah hu.ii band ye kahnaa hai mujhetum kaho zinda giraftaar-e-lahad hai ki nahii.nhaa.n giraftaar huu.n do chand ye kahnaa hai mujhetum kaho ne.amat-e-hastii se ye kad hai ki nahii.n3tum merii ziist ke viiraane me.n partav ho KHayaabaano.n kaamai.n to sarsar huu.n ki viiraano.n se kyaa mel KHayaabano.n ketum to ho naGma-e-shab-taab mare uj.De shabistaano.n kaamai.n to shevan huu.n ki shevan hai.n nishaa.n aise shabistaano.n ketum nayaa ruup rachaa.o nayaa si.ngaar ho mere na.e armaano.n kaamai.n to huu.n KHuun-e-tamannaa ki sadaa KHuun hu.aa karte hai.n armaano.n ketum to amrit ho malaalo.n ke alaav me.n jalii jaano.n kaamai.n nahii.n raakh bhii kyaa aur nishaa.n ho.nge malaalo.n se jalii jaano.n ke
1is tarah lab hileki raato.n neapne siine ke raaz khol diye2munjamid qadmo.n ko pighlaataa hai kaunraasta ban karchalaa jaataa hai kaun3tere labo.n parmere dil kii KHvaahish haiaa jaa.e na ko.ii tabaahiidekh ke chal
tujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaaleye kaar-gaah-e-hastii baazaar-e-auj-o-pastiile dekh ho rahii hai bechainiyo.n kii bastiitujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale2phuulo.n ke chaak daamaa.n Guncho.n me.n soz-e-pinhaa.ngulshan bahaar me.n bhii be-kaif-o-dard-saamaa.nsoz-e-daruu.n nahii.n hai josh-e-junuu.n nahii.n haidil hii se aashiqii thii dil hii me.n KHuu.n nahii.n haipaimaane uTh ga.e hai.n maiKHaane uTh ga.e hai.nviiraaniyaa.n salaamat diivaane uTh ga.e hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale3maamuur-e-Gam hai duniyaa daar-e-alam hai duniyaadaam-e-tava.nagrii me.n said-e-sitam hai duniyaaaare se chal rahe hai.n naqshe badal rahe hai.ninsaa.n kaa KHuun pii kar insaan pal rahe hai.nmafquud KHurramii hai har bazm maatamii haiis Gam-kade kii har shai goyaa jahannamii haitujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale4ai kaar-saaz-e-aalam ai be-niyaaz-e-aalamma.amuur-e-soz-e-Gam hai kab se ye saaz-e-aalammaayuus ho chuke hai.n himmat hii kho chuke hai.ninsaa.n bhalaa.iyo.n kii qismat ko ro chuke hai.nbarbaad ho rahe hai.n naashaad ho rahe hai.nbande tire saraapaa fariyaad ho rahe hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale5haivaan bhii nahii.n hai.n insaan bhii nahii.n hai.ninsaa.n-numaa darinde shaitaan bhii nahii.n hai.nye zohd kii dukaane.n ye ma.asiyat kii kaane.nye vaa.izo.n ke mu.nh me.n chaltii hu.ii zabaane.nfir.aun ho rahe hai.n mal.uun ho rahe hai.nmaz.hab-farosh mullaa qaaruun ho rahe hai.ntujh ko bhii kuchh KHabar hai duniyaa banaane vaale6ai be-niyaaz-e-hastii ai kaar-saaz-e-hastiikab tak rahegaa yuu.nhii poshiida raaz-e-hastiiko.ii nahii.n hamaaraa ko.ii nahii.n sahaaraakis samt bah rahii hai ye zindagii kii dhaaraafikr-e-davaa nahii.n hai zikr-e-du.aa nahii.n haidil kah rahaa hai ab to ko.ii KHudaa nahii.n haitujh ko bhii kuchh KHabar hai tujh ko bhii kuchh KHabar hai
mire beTe mirii aa.nkhe.n mire baa'd un ko de denaajinho.n ne ret me.n sar gaa.D rakkhe hai.naur aise mutma.in hai.n jaise un kona ko.ii dekhtaa hai aur na ko.ii dekh saktaa haimagar ye vaqt kii jaasuus nazre.njo piichhaa kartii hai.n sab kaa zamiiro.n ke a.ndhere taka.ndheraa nuur par rahtaa hai Gaalib bas savere taksaveraa hone vaalaa hai(2)mire beTe mirii aa.nkhe.n mire baa'd un ko de denaakuchh andhe suurmaa jo tiir a.ndhere me.n chalaate hai.nsadaa dushman kaa siina taakte KHud zaKHm khaate hai.nlagaa kar jo vatan ko daav par kursii bachaate hai.nbhunaa kar khoTe sikke dharm ke jo pun kamaate hai.njataa do un ko aise Thag kabhii pak.De bhii jaate hai.n(3)mire beTe unhe.n tho.Dii sii KHuddaarii bhii de denaajo haakim qarz le ke is ko apnii jiit kahte hai.njahaa.n rakhte hai.n sonaa rehn KHud bhii rehn rahte hai.naur is ko bhii vo apnii jiit kahte hai.nshariik-e-jurm hai.n ye sun ke jo KHaamosh rahte hai.nqusuur apnaa ye kyaa kam hai ki ham sab un ko sahte hai.n(4)mire beTe mire baa'd un ko meraa dil bhii de denaaki jo shar rakhte hai.n siine me.n apne dil nahii.n rakhtehai un kii aastii.n me.n vo bhii jo qaatil nahii.n rakhtejo chalte hai.n unhii.n rasto.n pe jo manzil nahii.n rakhteye majnuu.n apnii nazro.n me.n ko.ii mahmil nahii.n rakhteye apne paas kuchh bhii faKHr ke qaabil nahii.n rakhtetaras khaa kar jinhe.n jantaa ne kursii par biThaayaa haivo KHud se to na uTThe.nge unhe.n tum hii uThaa denaaghaTaa.ii hai jinho.n ne itnii qiimat apne sikke kiiye zimma hai tumhaaraa un kii qiimat tum ghaTaa denaajo vo phailaa.e.n daaman ye vasiyyat yaad kar lenaaunhe.n har chiiz de denaa par un ko vote mat denaa
1siyaah pe.D hai.n ab aap apnii parchhaa.ii.nzamii.n se taa-mah-o-anjum sukuut ke miinaarjidhar nigaah kare.n ik athaah gum-shudgiiik ek kar ke fasurda charaaGo.n kii palke.njhapak ga.ii.n jo khulii hai.n jhapakne vaalii hai.njhalak rahaa hai pa.Daa chaa.ndnii ke darpan me.nrasiile kaif bhare manzaro.n kaa jaagtaa KHvaabfalak pe taaro.n ko pahlii jamaahiyaa.n aa.ii.n2tamoliyo.n kii dokaane.n kahii.n kahii.n hai.n khuliikuchh uu.nghtii hu.ii ba.Dhtii hai.n shaah-raaho.n parsavaariyo.n ke ba.De ghu.ngruu.o.n kii jhankaare.nkha.Daa hai os me.n chup-chaap har si.ngaar kaa pe.Ddulhan ho jaise hayaa kii sugandh se bojhalye mauj-e-nuur ye bharpuur ye khilii hu.ii raatki jaise khiltaa chalaa jaa.e ik safed ka.nvalsipaah-e-ruus hai ab kitnii duur berlin sejagaa rahaa hai ko.ii aadhii raat kaa jaaduuchhalak rahii hai KHum-e-Gaib se sharaab-e-vajuudfazaa-e-niim-shabii nargis-e-KHumaar-aaluudka.nval kii chuTkiyo.n me.n band hai nadii kaa suhaag3ye ras kaa sej ye sukumaar ye sukomal gaatnayan kamal kii jhapak kaam-ruup kaa jaaduuye rasmasaa.ii palak kii ghanii ghanii parchhaa.ii.nfalak pe bikhre hu.e chaa.nd aur sitaaro.n kiichamaktii u.ngliyo.n se chhi.D ke saaz fitrat ketaraane jaagne vaale hai.n tum bhii jaag uTho4shu.aa-e-mahr ne yuu.n un ko chuum chuum liyaanadii ke biich kumudnii ke phuul khil uTThena muflisii ho to kitnii hasiin hai duniyaaye jhaa.e.n jhaa.e.n sii rah rah ke ek jhii.ngur kiihinaa kii Tattiyo.n me.n narm sarsaraahaT siifazaa ke siine me.n KHaamosh sansanaahaT siiye kaa.enaat ab ik nii.nd le chukii hogii5ye mahv-e-KHvaab hai.n ra.ngiin machhliyaa.n tah-e-aabki hauz-e-sehn me.n ab in kii chashmake.n bhii nahii.nye sar-niguu.n hai.n sar-e-shaaKH phuul gu.Dhal keki jaise be-bujhe a.ngaare ThanDe pa.D jaa.e.nye chaa.ndnii hai ki umDaa hu.aa hai ras-saagarik aadmii hai ki itnaa dukhii hai duniyaa me.n6qariib chaa.nd ke ma.nDlaa rahii hai ik chi.Diyaabha.nvar me.n nuur ke karvaT se jaise naav chaleki jaise siina-e-shaa.ir me.n ko.ii KHvaab palevo KHvaab saa.nche me.n jis ke na.ii hayaat Dhalevo KHvaab jis se puraanaa nizaam-e-Gam badlekahaa.n se aatii hai madmaaltii lataa kii lipaTki jaise saik.Do.n pariyaa.n gulaabiyaa.n chhi.Dkaa.e.nki jaise saik.Do.n ban-deviyo.n ne jhuule paradaa-e-KHaas se ik saath baal khol diyelage hai.n kaan sitaaro.n ke jis kii aahaT paris inqalaab kii ko.ii KHabar nahii.n aatiidil-e-nujuum dha.Dakte hai.n kaan bajte hai.n7ye saa.ns letii hu.ii kaa.enaat ye shab-e-maahye pur-sukuu.n ye pur-asraar ye udaas samaa.nye narm narm havaa.o.n ke niil-guu.n jho.nkefazaa kii oT me.n mardo.n kii gungunaahaT haiye raat maut kii be-ra.ng muskuraahaT haidhu.aa.n dhu.aa.n se manaazir tamaam nam-diidaKHunuk dhundalke kii aa.nkhe.n bhii niim KHvaabiidasitaare hai.n ki jahaa.n par hai aa.nsu.o.n kaa kafanhayaat parda-e-shab me.n badaltii hai pahluukuchh aur jaag uThaa aadhii raat kaa jaaduuzamaana kitnaa la.Daa.ii ko rah gayaa hogaamire KHayaal me.n ab ek baj rahaa hogaa8gulo.n ne chaadar-e-shabnam me.n mu.nh lapeT liyaalabo.n pe so ga.ii kaliyo.n kii muskuraahaT bhiizaraa bhii sumbul-e-turkii laTe.n nahii.n hiltii.nsukuut-e-niim-shabii kii hade.n nahii.n miltii.nab inqalaab me.n shaayad ziyaada der nahii.nguzar rahe hai.n ka.ii kaarvaa.n dhundalke me.nsukuut-e-niim-shabii hai unhii.n ke paa.nv kii chaapkuchh aur jaag uThaa aadhii raat kaa jaaduu9na.ii zamiin nayaa aasmaa.n na.ii duniyaana.e sitaare na.ii gardishe.n na.e din raatzamii.n se taa-ba-falak intizaar kaa aalamfazaa-e-zard me.n dhu.ndle Gubaar kaa aalamhayaat maut-numaa intishaar kaa aalamhai mauj-e-duud ki dhundlii fazaa kii nabze.n hai.ntamaam KHastagii-o-maa.ndgii ye daur-e-hayaatthake thake se ye taare thakii thakii sii ye raatye sard sard ye be-jaan phiikii phiikii chamaknizaam-e-saaniya kii maut kaa pasiinaa haiKHud apne aap me.n ye kaa.enaat Duub ga.iiKHud apnii kokh se phir jagmagaa ke ubhregiibadal ke kechulii jis tarah naag lahraa.e10KHunuk fazaa.o.n me.n raqsaa.n hai.n chaa.nd kii kirne.nki aabgiino.n pe pa.Dtii hai narm narm phuvaarye mauj-e-Gaflat-e-ma.asuum ye KHumaar-e-badanye saa.ns nii.nd me.n Duubii ye aa.nkh madmaatiiab aa.o mere kaleje se lag ke so jaa.oye palke.n band karo aur mujh me.n kho jaa.o
1ye shaam ik aa.iina-e-niil-guu.n ye nam ye mahakye manzaro.n kii jhalak khet baaG dariyaa gaa.nvvo kuchh sulagte hu.e kuchh sulagne vaale alaavsiyaahiyo.n kaa dabe-paa.nv aasmaa.n se nuzuullaTo.n ko khol de jis tarah shaam kii deviipuraane vaqt ke bargad kii ye udaas jaTaa.e.nqariib o duur ye go dhuul kii ubhartii ghaTaa.e.nye kaa.enaat kaa Thahraa.o ye athaah sukuutye niim-tiirah fazaa roz-e-garm kaa taabuutdhu.aa.n dhu.aa.n sii zamii.n hai ghulaa ghulaa saa falak2ye chaa.ndnii ye havaa.e.n ye shaaKH-e-gul kii lachakye daur-e-baada ye saaz-e-KHamosh fitrat kesunaa.ii dene lagii jagmagaate siino.n me.ndilo.n ke naazuk o shaffaaf aabgiino.n me.ntire KHayaal kii pa.Dtii hu.ii kiran kii khanak3ye raat chhantii havaa.o.n kii so.ndhii so.ndhii mahakye khet kartii hu.ii chaa.ndnii kii narm damaksugandh raat kii raanii kii jab machaltii haifazaa me.n ruuh-e-tarab karvaTe.n badaltii haiye ruup sar se qadam tak hasiin jaise gunaahye aarizo.n kii damak ye fusuun-e-chashm-e-siyaahye dhaj na de jo ajantaa kii san.ato.n ko panaahye siina pa.D hii ga.ii dev lok kii bhii nigaahye sar-zamiin se aakaash kii parastish-gaahutaarte hai.n tirii aartii sitaara o maahsajal badan kii bayaa.n kis tarah ho kaifiyyatsarasvatii ke bajaate hu.e sitaar kii gatjamaal-e-yaar tire gulsitaa.n kii rah rah kejabiin-e-naaz tirii kahkashaa.n kii rah rah kedilo.n me.n aa.iina-dar-aa.iina suhaanii jhalak4ye chhab ye ruup ye joban ye saj ye dhaj ye lahakchamakte taaro.n kii kirno.n kii narm narm phuvaarye rasmasaate badan kaa uThaan aur ye ubhaarfazaa ke aa.iina me.n jaise lahlahaa.e bahaarye be-qaraar ye be-iKHtiyaar josh-e-numuudki jaise nuur kaa favvaara ho shafaq-aaluudye jalve paikar-e-shab-taab ke ye bazm-e-shohuudye mastiyaa.n ki mai-e-saaf-o-durd sab be-buudKHajil ho laal-e-yaman uzv uzv kii vo Dalak5bas ik sitaara-e-shi.ngaraf kii jabii.n pe jhamakvo chaal jis se labaalab gulaabiyaa.n chhalke.nsakuu.n-numaa KHam-e-abru ye adh-khulii.n palke.nhar ik nigaah se aiman kii bijliyaa.n lapke.nye aa.nkh jis me.n ka.ii aasmaa.n dikhaa.ii pa.De.nu.Daa de.n hosh vo kaano.n kii saada saada lave.nghaTaa.e.n vajd me.n aa.e.n ye gesu.o.n kii laTak6ye kaif-o-ra.ng-e-nazaara ye bijliyo.n kii lapakki jaise krishn se raadhaa kii aa.nkh ishaare karevo shoKH ishaare ki rabbaaniyat bhii jaa.e jhapakjamaal sar se qadam tak tamaam sho.ala haisukuun jumbish o ram tak tamaam sho.ala haimagar vo sho.ala ki aa.nkho.n me.n Daal de ThanDak7ye raat nii.nd me.n Duube hu.e se hai.n diipakfazaa me.n bujh ga.e u.D u.D ke jugnu.o.n ke sharaarkuchh aur taaro.n kii aa.nkho.n kaa ba.Dh chalaa hai KHumaarfasurda chhiTkii hu.ii chaa.ndnii kaa dhundlaa Gubaarye bhiigii bhiigii uudaahaT ye bhiigaa bhiigaa nuurki jaise chashma-e-zulmaat me.n jale kaafuurye Dhaltii raat sitaaro.n ke qalb kaa ye gudaazKHunuk fazaa me.n tiraa shabnamii tabassum-e-naazjhalak jamaal kii ta.abiir KHvaab aa.iina-saazjahaa.n se jism ko dekhe.n tamaam naaz-o-niyaazjahaa.n nigaah Thahar jaa.e raaz-andar-raazsukuut-e-niim-shabii lahlahe badan kaa nikhaarki jaise nii.nd kii vaadii me.n jaagtaa sansaarhai bazm-e-maah ki parchhaa.iyo.n kii bastii haifazaa kii oT se vo KHaamushii barastii haiki buu.nd buu.nd se paidaa ho gosh o dil me.n khanak8kisii KHayaal me.n hai Garq chaa.ndnii kii chamakhavaa.e.n nii.nd ke kheto.n se jaise aatii ho.nhayaat o maut me.n sargoshiyaa.n sii hotii hai.nkaro.Do.n saal ke jaage sitaare nam-diidasiyaah gesu.o.n ke saa.np niim-KHvaabiidaye pichhlii raat ye rag rag me.n narm narm kasak
1duur jaa kar qariib ho jitneham se kab tum qariib the itneab na aa.oge tum na jaa.ogevasl-e-hijraa.n baham hu.e kitne2chaa.nd nikle kisii jaanib tirii zebaa.ii kaara.ng badle kisii suurat shab-e-tanhaa.ii kaadaulat-e-lab se phir ai KHusrav-e-shiirii.n-dahanaa.naaj arzaa.n ho ko.ii harf shanaasaa.ii kaagarmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaa.ntazkira chhe.De tirii pairahan-aaraa.ii kaasehn-e-gulshan me.n kabhii ai shah-e-shamshaad-qadaa.nphir nazar aa.e saliiqa tirii ra.anaa.ii kaaek baar aur masiihaa-e-dil-e-dil-zadagaa.nko.ii va.ada ko.ii iqraar masiihaa.ii kaasaaz-o-saamaan baham pahu.nchaa hai rusvaa.ii kaa3kab tak dil kii KHair manaa.e.n kab tak rah dikhlaa.ogekab tak chain kii mohlat doge kab tak yaad na aa.ogebiitaa diid ummiid kaa mausam KHaak u.Dtii hai aa.nkho.n me.nkab bhejoge dard kaa baadal kab barkhaa barsaa.ogeahd-e-vafaa yaa tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karoapne bas kii baat hii kyaa hai ham se kyaa manvaa.ogekis ne vasl kaa suuraj dekhaa kis par hijr kii raat Dhaliigesu.o.n vaale kaun the kyaa the un ko kyaa jatlaa.oge'faiz' dilo.n ke bhaag me.n hai ghar bharnaa bhii luT jaanaa bhiitum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraa.oge
1sarishk-e-KHuu.n ruKH-e-mazmuun pe chaltaa hai to ik rastanikaltaa hainadii dariyaa pe tham jaa.elahuu nuqte pe jam jaa.e to unvaan-e-safar Thahreusii raste pe sarkash raushnii taaro.n me.n Dhaltii haiusii nuqte kii suulii par payambar baat karte hai.nmujhe chalnaa nahii.n aataashab-e-saakin kii KHaana-zaad tasviiro gavaahii dofasiil-e-sub.h-e-mumkin par mujhe chalnaa nahii.n aataamire chashmo.n me.n shor-e-aab yakjaa bar-shakaalii hainadii maqruuz baadal kiimiraa dariyaa savaalii hairag-e-harf-e-zubuu.n me.n jo charaaG-e-KHuu.n safar me.n haiabhii us nuqta-e-aaKHir ke ziine tak nahii.n aataajahaa.n jallaad kaa ghar haijahaa.n diivaar-e-sub.h-e-zaat ke raKHne se nigah-e-KHashmagii.nbaaruud kii chashmak Daraatii haijahaa.n suulii ke mimbar par payambar baat karte hai.n2ab in baato.n ke sikke jeb ke andar khanakte hai.n ki jin parqasr-e-shaahii ke manaaziraslaha-KHaano.n se jaarii hukm kunda hai.nbhare baazaar me.n tifl-e-tahii-kiisa pareshaa.n hai ki us ke paa.nvTaksaalo.n ke raste se abhii naa-aashnaa hai.naur us kaa baap guu.ngaa hainadii ruk ruk ke chaltii haitakallum rehn rakhne se safar aasaa.n nahii.n hotaahu.aa paspaa jahaa.n paaniijahaa.n maujo.n ne zanjiir-e-vafaa pahnii sipar girdaab kii rakh diialam rakhe qalam rakheKHafaa baadal ne jin paayaab dariyaa.o.n se mu.nh mo.Daajahaa.n taaraaj hai khetiijahaa.n qarya uja.Dtaa haitanaab-e-raah kaTtii hai kahii.n KHema ukha.Dtaa haivahaa.n se duur hai nadiivahaa.n se duur hai bachcha ki us ke paa.nvdariyaa.o.n ke raste se abhii naa-aashnaa hai.naur us kaa baap guu.ngaa haiuse chalnaa nahii.n aataafasiil-e-sub.h-e-mumkin par use chalnaa nahii.n aataa3sahar ke paas hai.n mansuuKH sharte.n sulh-naame kiisabaa dars-e-ziyaa.n-aamoz kii tafsiil rakhtii haikisii tamsiil me.n tum hokisii ijmaal me.n mai.n huu.nkahii.n qirtaas KHaalii kaa vo be-unvaan saahil haijahaa.n aashuftagaan-e-adl ne hathiyaar Daale hai.nbahut zaate.n hai.n sadmo.n kiika.ii hisse hai.n siine me.n nafas gum-karda lamhe keka.ii tabqaat hai.n din kekahii.n sub.h-e-mukaafaat-e-suKHan ke mantaqe me.n tum muqayyad hokisii pichhle pahar ke sulh-naame kii adaalat me.nka.Dii sharto.n par apne dastaKHat ke ruu-ba-ruu mai.n huu.nsuno qirtaas-e-KHaalii ke sipar-andaaz saahil sehavaa kyaa baat kahtii haiidhar us duusre saahil se jo mallaah aayaa haizamiine.n bechtii bastii se kyaa paiGaam laayaa haiko.ii ta.aziir kii dhamkiiko.ii va.ada rihaa.ii kaako.ii aa.nsuuko.ii chhuTTii
kiran ko tum kis tarah a.ndhero.n kii chaadaro.n me.n lapeT dogekiran to phuuTegiiaur a.ndhere kii chaadare.n taar-taar ho.ngiilahuu bahegaato raat Dhal jaa.egiikisii kii jabii.n se suuraj ubal pa.De.nge(2)nidaa ye aa.iiki kaj-kulaaho.n ke taaj chhiinoye taKHt taaraaj kar ke chho.Doin uu.nche mahlo.n ko KHaak kar doye masnade.n sab ukhaa.D phe.nkoye gurz-e-aahanjo tum pe paiham baras rahaa haiuThoba.Dhoba.Dh ke gurz-e-aahan ko apne haath me.n thaam loye asaa-e-muusaa banegaazulm-o-sitam ke phaniyar sapoliyo.n ko nigal hii legaaudaas chehre KHushii se yuu.n tamtamaa.ejaise bahaar ke KHvaab jaag uTThechahaar-suu ek shor-e-labbaik uTh rahaa thaajo kal talak ek be-baso.n kaa hujuum thaaaaj jo jarraar lashkar-e-pur-shikoh ban kar ba.Dhaato sab taajvar sabhii kaj-kulaah sab shahryaarbarg-e-KHizaa.n kii maanind KHaak me.n mil ga.efaqat ik galiim-posho.n kaa KHuun thaajo sadaa.e.n detaa rahaabahaaro.n ke qaafilo.n kovo masnade.n taKHt-o-taaj uu.nche mahal to qaa.em rahena.e kaj-kulaah aa.egaliim-posho.n kaa lashkar-e-pur-shikoh phir ik hujuum ban kar bikhar gayaaKHvaab TuuT kar phir KHizaa.n ke patto.n kii tarahmiTTii me.n mil ga.ephir vo gurz-e-aahan thaataKHt-o-taaj-e-shahii kaa zaamin(3)asaa-e-muusaa ko kaun rokegaazulm-o-Gaarat-garii ke phaniyar sapoliyekab tak Dase.ngekabhii to haatho.n se nuur phuuTegaaaur zulmat-kado.n me.n suuraj ubal pa.De.nge
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books