aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "address"
naama na ko.ii yaar kaa paiGaam bhejiyeis fasl me.n jo bhejiye bas aam bhejiyeaisaa zaruur ho ki unhe.n rakh ke khaa sakuu.npuKHta agarche biis to das KHaam bhejiyema.aluum hii hai aap ko bande kaa addresssiidhe allahabad mire naam bhejiyeaisaa na ho ki aap ye likkhe.n javaab me.nta.amiil hogii pahle magar daam bhejiye
ik ThiThurtii sub.h haiDaak-KHaane kii galii me.nzard patte u.D rahe hai.nkapkapaatii u.ngliyo.n se likhaa addresshar ko.ii pa.Dh letaa hai
bhayyaa kii khaa ke maar lagaataa huu.n qahqahejab dekhte hai.n yaar lagaataa huu.n qahqahedil me.n hai imtihaan kaa Gam kis tarah bhulaa.uu.nho ho ke be-qaraar lagaataa huu.n qahqahejab dekhtaa huu.n KHvaab ki school jal gayaaKHush ho ke baar baar lagaataa huu.n qahqahekartaa hai Dhe.nchuu.n Dhe.nchuu.n mire ilm kaa gadhaahotaa huu.n jab savaar lagaataa huu.n qahqahenaaraaz ho ke ghar se jo ko.ii nikaal dejaa kar nadii ke paas lagaataa huu.n qahqahesar par agar pa.De.n kabhii yaaro.n kii sainDele.nbaalo.n ko mai.n sa.nvaar lagaataa huu.n qahqahemujh ko bahut hai qahqaha number kaa intizaarkartaa huu.n intizaar lagaataa huu.n qahqahehar roz mai.n khilaune ke daftar ke aas paasjaa jaa ke paa.nch chaar lagaataa huu.n qahqaheaur puuchhte hai.n jab chachaa yuusuf ye kaun haimai.n ro ke zaar-zaar lagaataa huu.n qahqaheilyaas Daa.nTe hai.n jo khi.Dkii se jhaa.nk jhaa.nkmai.n hans ke das hazaar lagaataa huu.n qahqaheidriis bhaagte hai.n mire piichhe laTh liyejaate hai.n jab vo haar lagaataa huu.n qahqaheyuunus jo phe.nkte hai.n kabhii mujh pe belchamai.n ban ke KHaaksaar lagaataa huu.n qahqahejab ziinat aapaa kartii hai.n mujh ko nasiihate.nmai.n sun ke be-shumaar lagaataa huu.n qahqahepaagal huu.n imtihaan ke qaabil nahii.n rahaajis dil pe mujh ko naaz thaa vo dil nahii.n rahaais Gam me.n baar-baar lagaataa huu.n qahqahe
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books