misaal-e-maah taabinda raho tum
misāl-e-māh tābinda raho tum
dayār-e-dil meñ pā.inda raho tum
mujhe ġhamzoñ se tum ne maar Daalā
du'ā merī ye hai zinda raho tum
rahūñ āzād maiñ donoñ jahāñ se
agar pahlū meñ raḳhshanda raho tum
na ho aisā ki qatl-e-‘āshiqāñ se
ba-roz-e-hashr sharminda raho tum
misal-e-mah tabinda raho tum
dayar-e-dil mein painda raho tum
mujhe ghamzon se tum ne mar Dala
du'a meri ye hai zinda raho tum
rahun aazad main donon jahan se
agar pahlu mein raKHshanda raho tum
na ho aisa ki qatl-e-‘ashiqan se
ba-roz-e-hashr sharminda raho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.