mujh ko teraa shabaab le baiThaa
mujh ko terā shabāb le baiThā
rang, gorā gulāb le baiThā
dil kā Dar thā kahīñ na le baiThe
le hī baiThā janāb le baiThā
jab bhī fursat milī hai farzoñ se
tere ruḳh kī kitāb le baiThā
kitnī biitī hai kitnī baaqī hai
mujh ko is kā hisāb le baiThā
mujh ko jab bhī hai terī yaad aa.ī
din-dahāḌe sharāb le baiThā
achchhā hotā savāl nā kartā
mujh ko terā javāb le baiThā
'shiv' ko ik ġham pe hī bharosa thā
ġham se korā javāb le baiThā
mujh ko tera shabab le baiTha
rang, gora gulab le baiTha
dil ka Dar tha kahin na le baiThe
le hi baiTha janab le baiTha
jab bhi fursat mili hai farzon se
tere ruKH ki kitab le baiTha
kitni biti hai kitni baqi hai
mujh ko is ka hisab le baiTha
mujh ko jab bhi hai teri yaad aai
din-dahaDe sharab le baiTha
achchha hota sawal na karta
mujh ko tera jawab le baiTha
'shiw' ko ek gham pe hi bharosa tha
gham se kora jawab le baiTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.