Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aadil Raza Mansoori's Photo'

Aadil Raza Mansoori

1978 | Jaipur, India

Well-known poet and editor of literary journal 'Istefsaar'

Well-known poet and editor of literary journal 'Istefsaar'

Sher of Aadil Raza Mansoori

mirī ḳhāmoshiyoñ jhiil meñ phir

kisī āvāz patthar girā hai

meri KHamoshiyon ki jhil mein phir

kisi aawaz ka patthar gira hai

safar ke ba.ad bhī mujh ko safar meñ rahnā hai

nazar se girnā bhī goyā ḳhabar meñ rahnā hai

safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai

nazar se girna bhi goya KHabar mein rahna hai

vahāñ shāyad koī baiThā huā hai

abhī khiḌkī meñ ik jaltā diyā hai

wahan shayad koi baiTha hua hai

abhi khiDki mein ek jalta diya hai

saare taare zamīñ pe gir jaate

zor se maiñ jo pheñktā patthar

sare tare zamin pe gir jate

zor se main jo phenkta patthar

naam ne kaam kar dikhāyā hai

sab ne dekhā hai tairtā patthar

nam ne kaam kar dikhaya hai

sab ne dekha hai tairta patthar

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now