Translations by Mohammad Shehzad
Paataal Aur Jhoolti Talwaar
Edgar Allan Poe
Ye kahaani 'The Pit and the Pendulum' ka Urdu tarjuma hai. Is mein eik qaidi andheri kothri mein maut ke saaye tale pada hai, jahaan jhoolti hui fauladi dhaar aahista-aahista uske dil ki taraf badh rahi hai. Har lamha khauf, be-basi aur aziyat mein guzarta hai, magar umeed ki aakhri kiran use zinda rakhti hai. Jab diwaarein sukad kar use paataal ki taraf dhakelne lagti hain to use yaqeen ho jata hai ki ab koi najaat nahi. Maut ke aakhri lamhe mein achaanak madad ka haath badhta hai aur woh jahannam jaise azaab se bach nikalta hai.
Aakhri Mulaaqaat
Edgar Allan Poe
Ye kahaani mashhoor musannif Edgar Allan Poe ki 'The Assignation' ka Urdu tarjuma hai, jo Venice ke khoobsurat pas-manzar mein Muhabbat, Husn aur Maut ki eik gahri alamiya daastaan bayaan karti hai. Kahaani eik aise daulat-mand, art ke dil-daada naujawan raees aur eik muazzaz khatoon ke gird ghoomti hai jo muaashirati bandishon aur rasm-o-riwaj ki wajah se eik nahi ho paate. Apni adhoori magar kamil muhabbat ko la-faani banaane ke liye, wo donon dunyaawi bandhanon ko tod kar khaamoshi se maut ko gale laga lete hain.
Sharaab Ka Phanda!
Edgar Allan Poe
Ye Edgar Allan Poe ki kahaani "The Cask of Amontillado" ka Urdu tarjuma hai, jis mein eik aadmi apne dost ko laalach de kar teh-khaane mein le jaata hai aur wahaan usey deewaar mein zinda band kar deta hai taaki us se mukammal aur khaamosh intiqaam le sake.
Zameer Ki Dhadkan
Edgar Allan Poe
Ye Angrezi zabaan mein shaa'e (The Tell Tale Heart) ka tarjuma eik nafsiyaati kahaani hai jis mein eik shakhs, eik boodhe aadmi ko uski aankh se nafrat ki wajah se qatl kar deta hai. Kahaani mein wo apne aapko paagal nahi samajhta balki intihaai hoshiyaar aur hassaas saabit karne ki koshish karta hai. Aakhir mein uske zameer ki aawaaz use police ke saamne eteraaf-e-jurm par majboor kar deti hai.
Khwaabon Se Mohabbat
Edgar Allan Poe
Baaz log zindagi se nahi, apne Khwaabon se mohabbat karte hain aur jab Khwaab toot jaayen to unhein duniya ki koi daulat, koi izzat aur koi kaamyabi zinda nahi rakh sakti.
"Ajeeb-o-Ghareeb" Ke Farishte Ka Rangeen Tamaasha
Edgar Allan Poe
Angrezi zabaan mein shaya 'The Angel of the Odd - An Extravaganza' Edgar Allan Poe ki ye kahani eik maghroor shakhs ki hai jo zindagi ke ajeeb-o-ghareeb haadsat ko jhoot samajh kar unka mazaaq udaata hai. Eik din uske saamne botalon aur peepon se bana “Ajeeb-o-Ghareeb ka Farishta” namoodar ho kar use challenge karta hai.
Surkh Phool
Vsevolod Mikhailovich Garshin
Ye kahaani Rusi musannif Vsevolod Garshin ke mashhoor afsaane 'The Red Flower' (Surkh Phool) ka Urdu tarjuma hai. Ye eik aise shadeed zehni mareez ki daastaan hai jise paagal-khaane laaya jaata hai. Mareez khud ko eik azeem aalami mission par mamoor samajhta hai jahan uska maqsad duniya se tamaam buraaiyon ka khatma karna hai. Hospital ke baagh mein uge hue eik shokh surkh phool ko vo kaainaat ki tamaam-tar buraaiyon aur manfi taaqaton ka markaz samajh baithta hai. Apne junoon mein voh is phool ko tor kar apne seene se chhupa leta hai taaki uske zahar ko apne andar jazb kar ke duniya ko shar se nijaat dila sake. Ye kahaani insaani nafsiyaat, diwaangi, aur khair-o-shar ke darmiyaan jaari eik mubham magar dardnaak jang ki akkaasi karti hai.
Usher Ki Haveli Ka Anjaam!
Edgar Allan Poe
Yeh kahaani angrezi zabaan mein 'The Fall of the House of Usher' ke naam se maujood hai. Jis mein ek raavi hai jo apne dost Roderick ki daawat par uski puraani aur weeraan haveli pahunchta hai. Wahaan Roderick aur uski judwaan bahen Madeline pur-asraar bimaariyon mein mubtala milte hain. Kuch din baad Madeline ba-zaahir mar jaati hai, lekin tadfeen ke baad wo achaanak zinda waapis aa jaati hai. Is khauf-naak manzar ko dekh kar Roderick sadme se mar jaata hai aur haveli zameen-bos ho jaati hai.