Munawwar Rana
Ghazal 45
Nazm 9
Sher-o-Shayari 106
so jaate haiñ fōtpath pe aḳhbār bichhā kar
mazdūr kabhī niiñd kī golī nahīñ khāte
so jate hain footpath pe aKHbar bichha kar
mazdur kabhi nind ki goli nahin khate
-
Share this
- See Ghazal
Quote 39

Urdu mushaa'iron ki haveli dekhte-dekhte hi kaisi weeraan hoti ja rahi hai. Haveli ki munderon par rakhe hue charaagh eik-eik kar ke bujhte ja rahe hain. Aiwan-e-adab ki taraf le jaati hui sabse khoobsurat, pur-wiqaar aur pur-kashish pagdandi kitni sunsaan ho chuki hai. Khuda kare kisi bhi zabaan par ye bura waqt na aaye, koi kunba aise na bikhre, kisi khaandaan ka itni tezi se safaaya na ho, kisi qabeele ki ye durdasha na ho. Abhi kal ki baat hai ki mushaa'ire ka stage kisi bhare-pare dehaat ki choupal jaisa tha, stage par raunaq-afroz mohtaram sho'ara kisi dev-maalaai kirdaar maaloom hote the. In zinda kirdaaron ki maujoodgi mein tahzeeb is tarah phalti-phoolti thi jaise barsaat ke dinon mein ishq-e-pechaan oonchi-oonchi deewaaron ka safar tay karta hai.

BOOKS 19
Image Shayari 9
lipaT jaataa huu.n maa.n se aur mausii muskuraatii hai mai.n urdu me.n Gazal kahtaa huu.n hindii muskuraatii hai
bojh uThaanaa shauq kahaa.n hai majbuurii kaa saudaa hai rahte rahte station par log qulii ho jaate hai.n