aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Abdul Hai Aarfi

Known for his religious and reformative poetry, a disciple of Maulana Ashraf Ali Thanavi

Known for his religious and reformative poetry, a disciple of Maulana Ashraf Ali Thanavi

Abdul Hai Aarfi

Ghazal 2

 

Sher-o-Shayari 12

zarā ai josh-e-ġham rahne de qaabū meñ zabāñ merī

vo sunñā chāhte haiñ ḳhud mujhī se dāstāñ merī

zara ai josh-e-gham rahne de qabu mein zaban meri

wo sunna chahte hain KHud mujhi se dastan meri

  • Share this

toḌnā tauba sau baar bhī āsāñ thā magar

jām-e-mai mujh se to ik baar bhī toḌā na gayā

toDna tauba ka sau bar bhi aasan tha magar

jam-e-mai mujh se to ek bar bhi toDa na gaya

  • Share this

jitnī tavaqquāt thiiñ sab ḳhatm ho chukīñ

maiñ 'ārfī' kisī se bhī ab sargirāñ nahīñ

jitni tawaqquat thin sab KHatm ho chukin

main 'arfi' kisi se bhi ab sargiran nahin

  • Share this

ab mire vāste har mauj hai āġhosh-e-sukūñ

bahr-e-ġham meñ jo nahīñ hai koī sāhil na sahī

ab mere waste har mauj hai aaghosh-e-sukun

bahr-e-gham mein jo nahin hai koi sahil na sahi

  • Share this

sukūn-e-iztirāb-e-ġham pe chāra-sāz to ḳhush haiñ

dil-e-betāb lekin qazā ma.alūm hotī hai

sukun-e-iztirab-e-gham pe chaara-saz to KHush hain

dil-e-betab ki lekin qaza malum hoti hai

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now