Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh lutf KHamoshi mein na aahon mein maza hai

Abdul Hai Aarfi

kuchh lutf KHamoshi mein na aahon mein maza hai

Abdul Hai Aarfi

MORE BYAbdul Hai Aarfi

    kuchh lutf ḳhamoshī meñ na aahoñ meñ mazā hai

    be-kaifī-e-dil in dinoñ kuchh had se sivā hai

    be-ḳhud kiye rahtī hai tasavvur fazā meñ

    apnī shab-e-tanhā.ī aalam judā hai

    ik rabt-e-mohabbat ehsās hai dil meñ

    kuchh aur na ehsās-e-jafā hai na vafā hai

    ai dost maiñ kyā mahviyat-e-dil ko chhupā.ūñ

    jab husn-e-tasavvur tirā hosh-rubā hai

    ai aarfī hai rāh-e-mohabbat bhī ajab raah

    rahbar hai jahāñ koī na manzil patā hai

    kuchh lutf KHamoshi mein na aahon mein maza hai

    be-kaifi-e-dil in dinon kuchh had se siwa hai

    be-KHud kiye rahti hai tasawwur ki faza mein

    apni shab-e-tanhai ka aalam hi juda hai

    ek rabt-e-mohabbat hi ka ehsas hai dil mein

    kuchh aur na ehsas-e-jafa hai na wafa hai

    ai dost main kya mahwiyat-e-dil ko chhupaun

    jab husn-e-tasawwur hi tera hosh-ruba hai

    ai aarfi hai rah-e-mohabbat bhi ajab rah

    rahbar hai jahan koi na manzil ka pata hai

    Source:

    Ifadat-e-Aarifiya (Pg. 131)

    • Author: Abdul Hai Aarfi
      • Publisher: Idara Ishaa.at-e-Islam, Karachi
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now