Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kaami Shah's Photo'

Kaami Shah

1979 | Karachi, Pakistan

Kaami Shah

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 7

diye ke aur havāoñ ke marāsim khul nahīñ paate

nahīñ khultā ki in meñ se ye kis āzmā.ish hai

diye ke aur hawaon ke marasim khul nahin pate

nahin khulta ki in mein se ye kis ki aazmaish hai

vaise tum achchhī laḌkī ho

lekin merī kyā lagtī ho

waise tum achchhi laDki ho

lekin meri kya lagti ho

faqat ġhussa piye jaate haiñ roz o shab ke jhagḌe meñ

koī hañgāma kar sakte jo vahshat raas aa jaatī

faqat ghussa piye jate hain roz o shab ke jhagDe mein

koi hangama kar sakte jo wahshat ras aa jati

maiñ apne dil kahtā huuñ

tum apne dil suntī ho

main apne dil ki kahta hun

tum apne dil ki sunti ho

har ek gaam pe ranj-e-safar uThāte hue

maiñ aa paḌā huuñ yahāñ tujh se duur jaate hue

har ek gam pe ranj-e-safar uThate hue

main aa paDa hun yahan tujh se dur jate hue

More Poets From "Karachi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now