aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
unheñ bhī jiine ke kuchh tajrabe hue hoñge
jo kah rahe haiñ ki mar jaanā chāhte haiñ ham
unhen bhi jine ke kuchh tajrabe hue honge
jo kah rahe hain ki mar jaana chahte hain hum
hamāre ishq meñ rusvā hue tum
magar ham to tamāshā ho ga.e haiñ
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
zamīñ ke gird bhī paanī zamīñ kī tah meñ bhī
ye shahr jam ke khaḌā hai jo tairtā hī na ho
zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi
ye shahr jam ke khaDa hai jo tairta hi na ho
vo jis ghamanD se bichhḌā gila to is kā hai
ki saarī baat mohabbat meñ rakh-rakhāv kī thī
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi
mohabbat kī to koī had, koī sarhad nahīñ hotī
hamāre darmiyāñ ye fāsle, kaise nikal aa.e
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books