aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye kah rahī hai ishāroñ meñ gardish-e-gardūñ
ki jald ham koī saḳht inqalāb dekheñge
ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun
ki jald hum koi saKHt inqalab dekhenge
hazāroñ kaam mohabbat meñ haiñ maze ke 'dāġh'
jo log kuchh nahīñ karte kamāl karte haiñ
hazaron kaam mohabbat mein hain maze ke 'dagh'
jo log kuchh nahin karte kamal karte hain
haar jā.egī zindagī lekin
hārne kā nahīñ mirā ye ishq
haar jaegi zindagi lekin
haarne ka nahin mera ye ishq
insāñ ke dil kī ḳhair zamīñ āsmāñ kī ḳhair
har roz gul khilāte haiñ insāñ na.e na.e
insan ke dil ki KHair zamin aasman ki KHair
har roz gul khilate hain insan nae nae
ik zarā teġh-e-nigah ko jo ishārā ho jaa.e
aap kā naam ho aur kaam hamārā ho jaa.e
ek zara tegh-e-nigah ko jo ishaara ho jae
aap ka nam ho aur kaam hamara ho jae
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books