aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
itāb-o-qahr kā har ik nishān bolegā
maiñ chup rahā to shikasta makān bolegā
itab-o-qahr ka har ek nishan bolega
main chup raha to shikasta makan bolega
dil nazr karo zulm saho naaz uThāo
ai ahl-e-tamannā ye haiñ arkān-e-tamannā
dil nazr karo zulm saho naz uThao
ai ahl-e-tamanna ye hain arkan-e-tamanna
vo ek raaz! jo muddat se raaz thā hī nahīñ
us ek raaz se parda uThā diyā gayā hai
wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin
us ek raaz se parda uTha diya gaya hai
kaisī haiñ āzmā.isheñ kaisā ye imtihān hai
mere junūñ ke vāste hijr kī ek raat bas
kaisi hain aazmaishen kaisa ye imtihan hai
mere junun ke waste hijr ki ek raat bas
mirī mushkil mirī mushkil nahīñ hai
vasīla terī āsānī kā maiñ huuñ
meri mushkil meri mushkil nahin hai
wasila teri aasani ka main hun
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books