aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dekhne vaale ko tere dekhne aate haiñ log
jo kashish tujh meñ thī ab vo tere dīvāne meñ hai
dekhne wale ko tere dekhne aate hain log
jo kashish tujh mein thi ab wo tere diwane mein hai
ham kaun shanāvar the ki yuuñ paar utarte
sūkhe hue hoñToñ kī duā le ga.ī ham ko
hum kaun shanawar the ki yun par utarte
sukhe hue honTon ki dua le gai hum ko
raushnī meñ tirī raftār se kartā huuñ safar
zindagī mujh se kahīñ tez na chalne lag jaa.e
raushni mein teri raftar se karta hun safar
zindagi mujh se kahin tez na chalne lag jae
tumhāre iz.hār-e-'ishq se dil meñ thoḌī halchal huī hai lekin
tumhārī bātoñ meñ is se pahle bhī aa chukā huuñ tumheñ patā hai
tumhaare izhaar-e-'ishq se dil mein thoDi halchal hui hai lekin
tumhaari baaton mein is se pahle bhi aa chuka hun tumhein pata hai
kahā maiñ ne ki jannat par razā-e-dost faa.iq hai
razā-e-dost bolī be-ḳhabar maiñ hī to jannat huuñ
kaha main ne ki jannat par raza-e-dost faiq hai
raza-e-dost boli be-KHabar main hi to jannat hun
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books