aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
chashm-e-giryāñ kī ābyārī se
dil ke dāġhoñ pe phir bahār aa.ī
chashm-e-giryan ki aabyari se
dil ke daghon pe phir bahaar aai
sirf hāthoñ ko na dekho kabhī āñkheñ bhī paḌho
kuchh savālī baḌe ḳhuddār huā karte haiñ
sirf hathon ko na dekho kabhi aankhen bhi paDho
kuchh sawali baDe KHuddar hua karte hain
abhī to dil meñ halkī sī ḳhalish mahsūs hotī hai
bahut mumkin hai kal is kā mohabbat naam ho jaa.e
abhi to dil mein halki si KHalish mahsus hoti hai
bahut mumkin hai kal is ka mohabbat nam ho jae
aap sharminda jafāoñ pe na hoñ
jin pe guzrī thī vahī bhuul ga.e
aap sharminda jafaon pe na hon
jin pe guzri thi wahi bhul gae
maiñ is liye bhī hamesha ḳhamosh rahtā huuñ
mire dimāġh meñ ik shor machtā rahtā hai
main is liye bhi hamesha KHamosh rahta hun
mere dimagh mein ek shor machta rahta hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books