aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
gul-gūñ tirī galī rahe āshiq ke ḳhuun se
yārab na ho ḳhizāñ se ye terā chaman ḳharāb
gul-gun teri gali rahe aashiq ke KHun se
yarab na ho KHizan se ye tera chaman KHarab
dekhnā achchhā nahīñ zaanū pe rakh kar aa.ina
donoñ nāzuk haiñ na rakhiyo aa.ine par aa.ina
dekhna achchha nahin zanu pe rakh kar aaina
donon nazuk hain na rakhiyo aaine par aaina
log dete rahe kyā kyā na dilāse mujh ko
zaḳhm gahrā hī sahī zaḳhm hai bhar jā.egā
log dete rahe kya kya na dilase mujh ko
zaKHm gahra hi sahi zaKHm hai bhar jaega
aur koī pahchān mirī bantī hī nahīñ
jānte haiñ sab log ki bas terā huuñ maiñ
aur koi pahchan meri banti hi nahin
jaante hain sab log ki bas tera hun main
aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī
ham apnī raa.e kā iz.hār karnā chāhte haiñ
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books