join rekhta family!
Ghazal 56
Nazm 2
Sher 48
qurbateñ hote hue bhī fāsloñ meñ qaid haiñ
kitnī āzādī se ham apnī hadoñ meñ qaid haiñ
qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain
kitni aazadi se hum apni hadon mein qaid hain
-
Share this
- See Ghazal
kahānī likhte hue dāstāñ sunāte hue
vo so gayā hai mujhe ḳhvāb se jagāte hue
kahani likhte hue dastan sunate hue
wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Khwab
duniyā achchhī bhī nahīñ lagtī ham aisoñ ko 'salīm'
aur duniyā se kinārā bhī nahīñ ho saktā
duniya achchhi bhi nahin lagti hum aison ko 'salim'
aur duniya se kinara bhi nahin ho sakta
-
Share this
- See Ghazal
Image shayari 6
milnaa na milnaa ek bahaana hai aur bas tum sach ho baaqii jo hai fasaana hai aur bas logo.n ko raaste kii zaruurat hai aur mujhe ik sa.ng-e-rahguzar ko haTaanaa hai aur bas masruufiyat ziyaada nahii.n hai mirii yahaa.n miTTii se ik charaaG banaanaa hai aur bas so.e hu.e to jaag hii jaa.e.nge ek din jo jaagte hai.n un ko jagaanaa hai aur bas tum vo nahii.n ho jin se vafaa kii ummiid hai tum se mirii muraad zamaana hai aur bas phuulo.n ko Dhuu.nDtaa hu.aa phirtaa huu.n baaG me.n baad-e-sabaa ko kaam dilaanaa hai aur bas aab o havaa to yuu.n bhii miraa mas.ala nahii.n mujh ko to ik daraKHt lagaanaa hai aur bas niindo.n kaa rat-jago.n se ulajhnaa yuu.nhii nahii.n ik KHvaab-e-raa.egaa.n ko bachaanaa hai aur bas ik vaada jo kiyaa hii nahii.n hai abhii 'saliim' mujh ko vahii to vaada nibhaanaa hai aur bas