join rekhta family!
Ghazal 133
Sher 154
thaknā bhī lāzmī thā kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayā huuñ ārām karte karte
thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte
-
Share this
- See Ghazal
yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā
kisī ko ham na mile aur ham ko tū na milā
yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
-
Share this
- See Ghazal
Humour/Satire 4
BOOKS 19
Image shayari 31
udaasii aasmaa.n hai dil miraa kitnaa akelaa hai parinda shaam ke pul par bahut KHaamosh baiThaa hai mai.n jab so jaa.uu.n in aa.nkho.n pe apne ho.nT rakh denaa yaqii.n aa jaa.egaa palko.n tale bhii dil dha.Daktaa hai tumhaare shahr ke saare diye to so ga.e kab ke havaa se puuchhnaa dahliiz pe ye kaun jaltaa hai agar fursat mile paanii kii tahriiro.n ko pa.Dh lenaa har ik dariyaa hazaaro.n saal kaa afsaana likhtaa hai kabhii mai.n apne haatho.n kii lakiiro.n se nahii.n uljhaa mujhe ma.aluum hai qismat kaa likkhaa bhii badaltaa hai
maan mausam kaa kahaa chhaa.ii ghaTaa jaam uThaa aag se aag bujhaa phuul khilaa jaam uThaa pii mire yaar tujhe apnii qasam detaa huu.n bhuul jaa shikva gila haath milaa jaam uThaa haath me.n chaa.nd jahaa.n aayaa muqaddar chamkaa sab badal jaa.egaa qismat kaa likhaa jaam uThaa ek pal bhii kabhii ho jaataa hai sadiyo.n jaisaa der kyaa karnaa yahaa.n haath ba.Dhaa jaam uThaa pyaar hii pyaar hai sab log baraabar hai.n yahaa.n mai-kade me.n ko.ii chhoTaa na ba.Daa jaam uThaa
agar is khel me.n ab vo bhii shaamil hone vaalaa hai to apnaa kaam pahle se bhii mushkil hone vaalaa hai havaa shaaKHo.n me.n rukne aur ulajhne ko hai is lamhe guzarte baadalo.n me.n chaa.nd haa.il hone vaalaa hai asar ab aur kyaa honaa thaa us jaan-e-taGaaful par jo pahle besh o kam thaa vo bhii zaa.il hone vaalaa hai ziyaada naaz ab kyaa kiijiye josh-e-javaanii par ki ye tuufaa.n bhii rafta rafta saahil hone vaalaa hai hamii.n se ko.ii koshish ho na paa.ii kaargar varna har ik naaqis yahaa.n kaa piir-e-kaamil hone vaalaa hai haqiiqat me.n bahut kuchh khone vaale hai.n ye saada-dil jo ye samjhe hu.e hai.n un ko haasil hone vaalaa hai hamaare haal-masto.n ko KHabar hone se pahle hii yahaa.n par aur hii kuchh ra.ng-e-mahfil hone vaalaa hai chalo is marhale par hii ko.ii tadbiir kar dekho vagarna shahr me.n paanii to daaKHil hone vaalaa hai 'zafar' kuchh aur hii ab sho.abada dikhlaa.iye varna ye daavaa-e-suKHan-daanii to baatil hone vaalaa hai