join rekhta family!
Ghazal 110
Sher 76
BOOKS 39
Image shayari 33
dayaar-e-dil kii raat me.n charaaG saa jalaa gayaa milaa nahii.n to kyaa hu.aa vo shakl to dikhaa gayaa vo dostii to KHair ab nasiib-e-dushmanaa.n hu.ii vo chhoTii chhoTii ranjisho.n kaa lutf bhii chalaa gayaa judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa pukaartii hai.n fursate.n kahaa.n ga.ii.n vo sohbate.n zamii.n nigal ga.ii unhe.n ki aasmaan khaa gayaa ye sub.h kii safediyaa.n ye dopahar kii zardiyaa.n ab aa.ine me.n dekhtaa huu.n mai.n kahaa.n chalaa gayaa ye kis KHushii kii ret par Gamo.n ko nii.nd aa ga.ii vo lahr kis taraf ga.ii ye mai.n kahaa.n samaa gayaa ga.e dino.n kii laash par pa.De rahoge kab talak alam-kasho uTho ki aaftaab sar pe aa gayaa
kap.De badal kar baal banaa kar kahaa.n chale ho kis ke liye raat bahut kaalii hai 'naasir' ghar me.n raho to behtar hai