join rekhta family!
Ghazal 110
Sher 75
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd
mahsūs kī hai terī zarūrat kabhī kabhī
ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi
-
Share this
- See Ghazal
E-BOOKS 27
IMAGE SHAYARI 28
sar me.n jab ishq kaa saudaa na rahaa kyaa kahe.n ziist me.n kyaa kyaa na rahaa ab to duniyaa bhii vo duniyaa na rahii ab tiraa dhyaan bhii utnaa na rahaa qissa-e-shauq sunaa.uu.n kis ko raazdaarii kaa zamaanaa na rahaa zindagii jis kii tamannaa me.n kaTii vo mire haal se begaana rahaa Dere Daale hai.n KHizaa.n ne chau-des gul to gul baaG me.n kaa.nTaa na rahaa din dahaa.De ye lahuu kii holii KHalq ko KHauf KHudaa kaa na rahaa ab to so jaa.o sitam ke maaro aasmaa.n par ko.ii taaraa na rahaa
'naasir' kyaa kahtaa phirtaa hai kuchh na suno to behtar hai diivaana hai diivaane ke mu.nh na lago to behtar hai kal jo thaa vo aaj nahii.n jo aaj hai kal miT jaa.egaa ruukhii-suukhii jo mil jaa.e shukr karo to behtar hai kal ye taab-o-tavaa.n na rahegii ThanDaa ho jaa.egaa lahuu naam-e-KHudaa ho javaan abhii kuchh kar guzro to behtar hai kyaa jaane kyaa rut badle haalaat kaa ko.ii Thiik nahii.n ab ke safar me.n tum bhii hamaare saath chalo to behtar hai kap.De badal kar baal banaa kar kahaa.n chale ho kis ke liye raat bahut kaalii hai 'naasir' ghar me.n raho to behtar hai
dayaar-e-dil kii raat me.n charaaG saa jalaa gayaa milaa nahii.n to kyaa hu.aa vo shakl to dikhaa gayaa vo dostii to KHair ab nasiib-e-dushmanaa.n hu.ii vo chhoTii chhoTii ranjisho.n kaa lutf bhii chalaa gayaa judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa pukaartii hai.n fursate.n kahaa.n ga.ii.n vo sohbate.n zamii.n nigal ga.ii unhe.n ki aasmaan khaa gayaa ye sub.h kii safediyaa.n ye dopahar kii zardiyaa.n ab aa.ine me.n dekhtaa huu.n mai.n kahaa.n chalaa gayaa ye kis KHushii kii ret par Gamo.n ko nii.nd aa ga.ii vo lahr kis taraf ga.ii ye mai.n kahaa.n samaa gayaa ga.e dino.n kii laash par pa.De rahoge kab talak alam-kasho uTho ki aaftaab sar pe aa gayaa