ek bhuli hui yaad
Interesting Fact
(January,1973)
tum bhī mujh se saare rishte toḌ chukī thiiñ
maiñ ne bhī ik dūsrā rasta dekh liyā thā
tum ne mujh se ahd liyā thā
maiñ ne bhī ik baat kahī thī
tum ne merī sab tasvīreñ vāpas de kar
apne ḳhat mujh se māñge the
lekin aaj risāle meñ apnā ik sher tumhāre naam se dekhā hai
to soch rahā huuñ
chehroñ kī pahchān adhūrī rah jaa.e
to yādeñ aa.ina ban jaatī haiñ
tum bhi mujh se sare rishte toD chuki thin
main ne bhi ek dusra rasta dekh liya tha
tum ne mujh se ahd liya tha
main ne bhi ek baat kahi thi
tum ne meri sab taswiren wapas de kar
apne KHat mujh se mange the
lekin aaj risale mein apna ek sher tumhaare nam se dekha hai
to soch raha hun
chehron ki pahchan adhuri rah jae
to yaaden aaina ban jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.