Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat Diary hargiz nahin hai

Saleem Kausar

mohabbat Diary hargiz nahin hai

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    Interesting Fact

    (June, 1987)

    mohabbat Diary hargiz nahīñ hai

    jis meñ tum likkho

    ki kal kis rang ke kapḌe pahanñe kaun ḳhushbū lagānī hai

    kise kyā baat kahnī kaun kis se chhupānī hai

    kahāñ kis peḌ ke saa.e tale milnā hai

    mil kar pūchhnā hai

    kyā tumheñ mujh se mohabbat hai

    ye farsūda jumla hai

    magar phir bhī yahī jumla

    darīchoñ āñganoñ saḌkoñ galī kūchoñ meñ chaubāroñ meñ

    chaubāroñ TuuTī sīḌhiyoñ meñ

    har jagah koī kisī se kah rahā hai

    kyā tumheñ mujh se mohabbat hai

    mohabbat Diary hargiz nahīñ hai

    jis meñ tum likkho

    tumheñ kis vaqt kis se kis jagah milnā hai kis ko chhoḌ jaanā hai

    kahāñ par kis tarah guftugū karnī hai ḳhāmosh rahnā hai

    kisī ke saath kitnī duur tak jaanā hai aur kab lauT aanā hai

    kahāñ āñkheñ milānā hai kahāñ palkeñ jhukānā hai

    ye likkho ki ab baar jab vo milne aa.egā

    to us haath apne haath meñ le kar

    dhanak chehre pe raushan jagmagātī raqs kartī us āñkhoñ meñ utar jā.eñge

    aur phir gulshan-o-sahrā ke bīchoñ-bīch dil saltanat meñ ḳhaak uḌā.eñge

    bahut mumkin hai vo ujlat meñ aa.e

    aur tum us haath hāthoñ meñ na le paao

    na āñkhoñ meñ jhāñko aur na dil saltanat ko fat.h kar paao

    jahāñ par guftugū karnī hai tum ḳhāmosh ho jaao

    jahāñ ḳhāmosh rahnā hai vahāñ tum bolte jaao

    na.e kapḌe pahan kar ghar se niklo maile ho jaao

    koī ḳhushbū lagāne irāda ho to shīshī haath se gir jaa.e

    tum vīrān ho jaao

    safar karnā se pahle be-sar-o-sāmān ho jaao

    mohabbat Diary hargiz nahīñ hai āb-jū hai

    jo diloñ ke darmiyāñ bahtī hai ḳhushbū hai

    kabhī palkoñ pe lahrā.e to āñkheñ hañsne lagtī haiñ

    jo āñkhoñ meñ utar jaa.e to manzar aur pas-e-manzar meñ sham.eñ jalne lagtī haiñ

    kisī bhī rang ko chhū le

    vahī dil ko gavārā hai

    kisī miTTī meñ ghul jaa.e

    vahī miTTī sitāra hai

    mohabbat Diary hargiz nahin hai

    jis mein tum likkho

    ki kal kis rang ke kapDe pahanne kaun si KHushbu lagani hai

    kise kya baat kahni kaun si kis se chhupani hai

    kahan kis peD ke sae tale milna hai

    mil kar puchhna hai

    kya tumhein mujh se mohabbat hai

    ye farsuda sa jumla hai

    magar phir bhi yahi jumla

    darichon aanganon saDkon gali kuchon mein chaubaron mein

    chaubaron ki TuTi siDhiyon mein

    har jagah koi kisi se kah raha hai

    kya tumhein mujh se mohabbat hai

    mohabbat Diary hargiz nahin hai

    jis mein tum likkho

    tumhein kis waqt kis se kis jagah milna hai kis ko chhoD jaana hai

    kahan par kis tarah ki guftugu karni hai ya KHamosh rahna hai

    kisi ke sath kitni dur tak jaana hai aur kab lauT aana hai

    kahan aankhen milana hai kahan palken jhukana hai

    ya ye likkho ki ab ki bar jab wo milne aaega

    to us ka hath apne hath mein le kar

    dhanak chehre pe raushan jagmagati raqs karti us ki aankhon mein utar jaenge

    aur phir gulshan-o-sahra ke bichon-bich dil ki saltanat mein KHak uDaenge

    bahut mumkin hai wo ujlat mein aae

    aur tum us ka hath hathon mein na le pao

    na aankhon hi mein jhanko aur na dil ki saltanat ko fath kar pao

    jahan par guftugu karni hai tum KHamosh ho jao

    jahan KHamosh rahna hai wahan tum bolte jao

    nae kapDe pahan kar ghar se niklo maile ho jao

    koi KHushbu lagane ka irada ho to shishi hath se gir jae

    tum viran ho jao

    safar karna se pahle be-sar-o-saman ho jao

    mohabbat Diary hargiz nahin hai aab-ju hai

    jo dilon ke darmiyan bahti hai KHushbu hai

    kabhi palkon pe lahrae to aankhen hansne lagti hain

    jo aankhon mein utar jae to manzar aur pas-e-manzar mein shamen jalne lagti hain

    kisi bhi rang ko chhu le

    wahi dil ko gawara hai

    kisi miTTi mein ghul jae

    wahi miTTi sitara hai

    Source:

    جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 367)

    • Author: سلیم کوثر
      • Publisher: فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now