aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dhokā thā nigāhoñ kā magar ḳhuub thā dhokā
mujh ko tirī nazroñ meñ mohabbat nazar aa.ī
dhoka tha nigahon ka magar KHub tha dhoka
mujh ko teri nazron mein mohabbat nazar aai
sūrmā jis ke kināroñ se palaT aate haiñ
maiñ ne kashtī ko utārā hai usī paanī meñ
surma jis ke kinaron se palaT aate hain
main ne kashti ko utara hai usi pani mein
armāñ ke tābūt meñ jab maiñ vaqt kī kīleñ gaaḌ chukūñgā
phir jab bhī tum yaad aaoge bah jāoge ashkoñ meñ
arman ke tabut mein jab main waqt ki kilen gaD chukunga
phir jab bhi tum yaad aaoge bah jaoge ashkon mein
is zāviye se peḌ lagāyā hai bhaa.ī ne
aatā nahīñ zarā sā bhī saaya mirī taraf
is zawiye se peD lagaya hai bhai ne
aata nahin zara sa bhi saya meri taraf
us kā andāz ruuTh jaane kā
hai bahāna qarīb aane kā
us ka andaz ruTh jaane ka
hai bahana qarib aane ka
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books