Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moin Shadab's Photo'

Moin Shadab

1971 | Delhi, India

Moin Shadab

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 27

mundamil dil har ik zaḳhm huā jaatā hai

yahī sarmāya thā jo ḳhatm huā jaatā hai

mundamil dil ka har ek zaKHm hua jata hai

yahi sarmaya tha jo KHatm hua jata hai

  • Share this

qatl itnā shor huā hai

dekh rahā huuñ ḳhud ko chhū kar

qatl ka itna shor hua hai

dekh raha hun KHud ko chhu kar

sahāfiyoñ ko kahāñ hāl-e-dil sunā baiThe

ye ek baat ka.ī zāviyoñ se likkheñge

sahafiyon ko kahan haal-e-dil suna baiThe

ye ek baat kai zawiyon se likkhenge

  • Share this

tujh se mil kar sab se naate toḌ liye the

ham ne bādal dekh ke maTke phoḌ liye the

tujh se mil kar sab se nate toD liye the

hum ne baadal dekh ke maTke phoD liye the

  • Share this

ye tez dhuup hameñ kaise sāñvlā kartī

hamāre sar pe duāoñ shāmiyāna thā

ye tez dhup hamein kaise sanwla karti

hamare sar pe duaon ka shamiyana tha

  • Share this

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now