aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye samajh ke maanā hai sach tumhārī bātoñ ko
itne ḳhūb-sūrat lab jhuuT kaise boleñge
ye samajh ke mana hai sach tumhaari baaton ko
itne KHub-surat lab jhuT kaise bolenge
ab tire zikr pe ham baat badal dete haiñ
kitnī raġhbat thī tire naam se pahle pahle
ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni raghbat thi tere nam se pahle pahle
vo baat kyā jo aur kī tahrīk se huī
vo kaam kyā jo ġhair kī imdād se huā
wo baat kya jo aur ki tahrik se hui
wo kaam kya jo ghair ki imdad se hua
kyā ġhaur se ai jān-e-jahāñ dekh rahe ho
tum sā koī ā.īne ke andar to nahīñ hai
kya ghaur se ai jaan-e-jahan dekh rahe ho
tum sa koi aaine ke andar to nahin hai
ye baat tark-e-ta.alluq ke baa'd ham samjhe
kisī se tark-e-ta.alluq bhī ik ta'alluq hai
on breaking off relations, I did later find
that severed ties are truly, bonds of a another kind
ye baat tark-e-talluq ke ba'd hum samjhe
kisi se tark-e-talluq bhi ek ta'alluq hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books