aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
añdherā māñgne aayā thā raushnī kī bhiik
ham apnā ghar na jalāte to aur kyā karte
andhera mangne aaya tha raushni ki bhik
hum apna ghar na jalate to aur kya karte
nīndoñ meñ phir rahā huuñ use DhūñDhtā huā
shāmil jo ek ḳhvāb mire rat-jage meñ thā
nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua
shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha
har shai ko zamīñ apnī taraf khīñch rahī hai
kab aatā hai dhartī pe gagan dekhte rahnā
har shai ko zamin apni taraf khinch rahi hai
kab aata hai dharti pe gagan dekhte rahna
mohabbat muntaqil hone lagī hai
maiñ ab bachchoñ kī hotī jā rahī huuñ
mohabbat muntaqil hone lagi hai
main ab bachchon ki hoti ja rahi hun
ajab sī aag thī jaltā rahā badan saarā
tamām umr vo hoñToñ pe ban ke pyaas rahā
ajab si aag thi jalta raha badan sara
tamam umr wo honTon pe ban ke pyas raha
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books