aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aa gayā thā ek din lab par jafāoñ kā gilā
aaj tak jab un se milte haiñ to sharmāte haiñ ham
aa gaya tha ek din lab par jafaon ka gila
aaj tak jab un se milte hain to sharmate hain hum
ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī
tū kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to lā
ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la
aa kar hamārī laash pe kyā yaar kar chale
ḳhvāb-e-adam se fitne ko bedār kar chale
aa kar hamari lash pe kya yar kar chale
KHwab-e-adam se fitne ko bedar kar chale
apne sāmān ko bāñdhe hue is soch meñ huuñ
jo kahīñ ke nahīñ rahte vo kahāñ jaate haiñ
apne saman ko bandhe hue is soch mein hun
jo kahin ke nahin rahte wo kahan jate hain
nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar
aas kahtī hai Thahar ḳhat kā javāb aane ko hai
na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar
aas kahti hai Thahar KHat ka jawab aane ko hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books