aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
apnoñ ke zaḳhm khā ke maiñ niklā jo shahr se
jo ajnabī milā vahī apnā lagā mujhe
apnon ke zaKHm kha ke main nikla jo shahr se
jo ajnabi mila wahi apna laga mujhe
jo phirī to teġh-e-qazā banī jo milī to āb-e-baqā milī
ye ajab tarah kā kamāl hai tirī chashm-e-ishvā-tarāz meñ
jo phiri to tegh-e-qaza bani jo mili to aab-e-baqa mili
ye ajab tarah ka kamal hai teri chashm-e-ishwa-taraaz mein
un mad-bharī āñkhoñ kī tārīf ho kyā zāhid
dekho to haiñ do sāġhar samjho to haiñ mai-ḳhāna
un mad-bhari aankhon ki tarif ho kya zahid
dekho to hain do saghar samjho to hain mai-KHana
dil meñ mirī vahshat ne par jitne nikāle the
maiñ ne unheñ bal de kar zanjīr banā.ī hai
dil mein meri wahshat ne par jitne nikale the
main ne unhen bal de kar zanjir banai hai
dil kī lagī dil vaalā jaane
kyā samjhe samjhāne vaalā
dil ki lagi dil wala jaane
kya samjhe samjhane wala
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books