aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
jhuuT bhī sach kī tarah bolnā aatā hai use
koī luknat bhī kahīñ par nahīñ aane detā
jhuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use
koi luknat bhi kahin par nahin aane deta
kaun suntā hai havāoñ kī ajab sargoshiyāñ
aur jaatī haiñ havā.eñ dar-ba-dar kis ke liye
kaun sunta hai hawaon ki ajab sargoshiyan
aur jati hain hawaen dar-ba-dar kis ke liye
dil sadā taḌpe hai merā murġh-e-bismil kī tarah
yā ki sīkhī murġh-e-bismil ne mire dil kī tarah
dil sada taDpe hai mera murgh-e-bismil ki tarah
ya ki sikhi murgh-e-bismil ne mere dil ki tarah
khulā ye ādam-o-iblīs ke fasāne se
ki ye jahān banā hai fareb khāne se
khula ye aadam-o-iblis ke fasane se
ki ye jahan bana hai fareb khane se
ilāhī kyā ilāqa hai vo jab letā hai añgḌā.ī
mire siine meñ sab zaḳhmoñ ke Tāñke TuuT jaate haiñ
ilahi kya ilaqa hai wo jab leta hai angDai
mere sine mein sab zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books