aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
inhī hairat-zada āñkhoñ se dekhe haiñ vo aañsū bhī
jo aksar dhuup meñ mehnat kī peshānī se Dhalte haiñ
inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi
jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain
pā-ba-jaulāñ to har ik shaḳhs yahāñ hai 'ambar'
terī zanjīr hī kyuuñ shor bapā kartī hai
pa-ba-jaulan to har ek shaKHs yahan hai 'ambar'
teri zanjir hi kyun shor bapa karti hai
chāroñ taraf haiñ maz.habī chāroñ taraf haiñ nafrateñ
sab kī namāz ek hai sab kā jihād ek hai
chaaron taraf hain mazhabi chaaron taraf hain nafraten
sab ki namaz ek hai sab ka jihad ek hai
dil ābād kahāñ rah paa.e us kī yaad bhulā dene se
kamra vīrāñ ho jaatā hai ik tasvīr haTā dene se
dil aabaad kahan rah pae us ki yaad bhula dene se
kamra viran ho jata hai ek taswir haTa dene se
ġham-e-zamāna ne majbūr kar diyā varna
ye aarzū thī ki bas terī aarzū karte
gham-e-zamana ne majbur kar diya warna
ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books