Sher on Duniya
We all have developed
our own perspectives on the world we live in. In this act of belonging to this world, there is much that is entirely our own. Yet, there is much that has been left behind. Reading these verses on the world, you would come across certain realities that only the creative minds can explore. These verses create a larger context for you to look at this phenomenon called the world.
ye duniyā hai yahāñ aslī kahānī pusht par rakhnā
laboñ par pyaas rakhnā aur paanī pusht par rakhnā
ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
labon par pyas rakhna aur pani pusht par rakhna
ġham-e-zamāna ne majbūr kar diyā varna
ye aarzū thī ki bas terī aarzū karte
gham-e-zamana ne majbur kar diya warna
ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte
-
Tag : Aarzoo
jab yahāñ rahne ke sab asbāb yakjā kar liye
tab khulā mujh par ki maiñ duniyā kā bāshinda na thā
jab yahan rahne ke sab asbab yakja kar liye
tab khula mujh par ki main duniya ka bashinda na tha
-
Tag : Safar
kaf-e-afsos malne se bhalā ab fā.eda kyā hai
dil-e-rāhat-talab kyuuñ ham na kahte the ye duniyā hai
kaf-e-afsos malne se bhala ab faeda kya hai
dil-e-rahat-talab kyun hum na kahte the ye duniya hai
kār-e-duniyā ko bhī kār-e-ishq meñ shāmil samajh
is liye ai zindagī terī pata rakhtā huuñ maiñ
kar-e-duniya ko bhi kar-e-ishq mein shamil samajh
is liye ai zindagi teri pata rakhta hun main
-
Tag : Zindagi
duniyā badal rahī hai zamāne ke saath saath
ab roz roz dekhne vaalā kahāñ se laa.eñ
duniya badal rahi hai zamane ke sath sath
ab roz roz dekhne wala kahan se laen
gañvā dī umr jis ko jītne meñ
vo duniyā merī jaañ terī na merī
ganwa di umr jis ko jitne mein
wo duniya meri jaan teri na meri
phir se ḳhudā banā.egā koī nayā jahāñ
duniyā ko yuuñ miTā.egī ikkīsvīñ sadī
phir se KHuda banaega koi naya jahan
duniya ko yun miTaegi ikkiswin sadi
duniyā kī kyā chaah kareñ
duniyā ānī-jānī hai
duniya ki kya chah karen
duniya aani-jaani hai
laa.ī hai kahāñ mujh ko tabī.at kī do-rañgī
duniyā kā talabgār bhī duniyā se ḳhafā bhī
lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi
duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi
-
Tag : Khafa
gaañv kī aañkh se bastī kī nazar se dekhā
ek hī rañg hai duniyā ko jidhar se dekhā
ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha
ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha
-
Tag : Gaon
qalandarī mirī pūchho ho dostān-e-junūñ
har āstāñ mirī Thokar se jaanā jaatā hai
qalandari meri puchho ho dostan-e-junun
har aastan meri Thokar se jaana jata hai
ye duniyā hai yahāñ har ābgīna TuuT jaatā hai
kahīñ chhupte phiro āḳhir zamāna DhūñDh hī legā
ye duniya hai yahan har aabgina TuT jata hai
kahin chhupte phiro aaKHir zamana DhunDh hi lega
bas ham donoñ zinda haiñ
baaqī duniyā faanī hai
bas hum donon zinda hain
baqi duniya fani hai
ham duniyā se jab tañg aayā karte haiñ
apne saath ik shaam manāyā karte haiñ
hum duniya se jab tang aaya karte hain
apne sath ek sham manaya karte hain
-
Tag : Shaam
ik ḳhvāb kā ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise
hai is meñ ik tilism tamannā kaheñ jise
ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise
hai is mein ek tilism tamanna kahen jise
duniyā hai sambhal ke dil lagānā
yaañ log ajab ajab mileñge
duniya hai sambhal ke dil lagana
yan log ajab ajab milenge
ḳhudā jaane ye duniyā jalva-gāh-e-nāz hai kis kī
hazāroñ uTh ga.e lekin vahī raunaq hai majlis kī
KHuda jaane ye duniya jalwa-gah-e-naz hai kis ki
hazaron uTh gae lekin wahi raunaq hai majlis ki
duniyā ne zar ke vāste kyā kuchh nahīñ kiyā
aur ham ne shā.erī ke sivā kuchh nahīñ kiyā
duniya ne zar ke waste kya kuchh nahin kiya
aur hum ne shaeri ke siwa kuchh nahin kiya
duniyā bahut ḳharāb hai jā-e-guzar nahīñ
bistar uThāo rahne ke qābil ye ghar nahīñ
duniya bahut KHarab hai ja-e-guzar nahin
bistar uThao rahne ke qabil ye ghar nahin
ham ki apnī raah kā patthar samajhte haiñ use
ham se jaane kis liye duniyā na Thukrā.ī ga.ī
hum ki apni rah ka patthar samajhte hain use
hum se jaane kis liye duniya na Thukrai gai
haath duniyā kā bhī hai dil kī ḳharābī meñ bahut
phir bhī ai dost tirī ek nazar se kam hai
hath duniya ka bhi hai dil ki KHarabi mein bahut
phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai
-
Tag : Dil
mujh pe ho kar guzar ga.ī duniyā
maiñ tirī raah se haTā hī nahīñ
mujh pe ho kar guzar gai duniya
main teri rah se haTa hi nahin
ik dard-e-mohabbat hai ki jaatā nahīñ varna
jis dard kī DhūñDe koī duniyā meñ davā hai
ek dard-e-mohabbat hai ki jata nahin warna
jis dard ki DhunDe koi duniya mein dawa hai
umīd-o-bīm ke mehvar se haT ke dekhte haiñ
zarā sī der ko duniyā se kaT ke dekhte haiñ
umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain
-
Tag : Ummeed
mirī to saarī duniyā bas tumhī ho
ġhalat kyā hai jo duniyā-dār huuñ maiñ
meri to sari duniya bas tumhi ho
ghalat kya hai jo duniya-dar hun main
justujū jis kī thī us ko to na paayā ham ne
is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
-
Tags : Bahanaand 1 more
duniyā to hai duniyā ki vo dushman hai sadā kī
sau baar tire ishq meñ ham ḳhud se laḌe haiñ
duniya to hai duniya ki wo dushman hai sada ki
sau bar tere ishq mein hum KHud se laDe hain
duniyā kī ravish dekhī tirī zulf-e-dotā meñ
bantī hai ye mushkil se bigaḌtī hai zarā meñ
duniya ki rawish dekhi teri zulf-e-dota mein
banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara mein
thoḌī sī aql laa.e the ham bhī magar 'adam'
duniyā ke hādsāt ne dīvāna kar diyā
thoDi si aql lae the hum bhi magar 'adam'
duniya ke hadsat ne diwana kar diya
badal rahe haiñ zamāne ke rañg kyā kyā dekh
nazar uThā ki ye duniyā hai dekhne ke liye
badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye duniya hai dekhne ke liye
ham yaqīnan yahāñ nahīñ hoñge
ġhāliban zindagī rahegī abhī
hum yaqinan yahan nahin honge
ghaaliban zindagi rahegi abhi
maiñ chāhtā huuñ yahīñ saare faisle ho jaa.eñ
ki is ke ba.ad ye duniyā kahāñ se lā.ūñgā maiñ
main chahta hun yahin sare faisle ho jaen
ki is ke baad ye duniya kahan se launga main
maañ kahtī thī dukh to rahegā duniyā meñ
jaise sab rahte haiñ mere laa'l raho
man kahti thi dukh to rahega duniya mein
jaise sab rahte hain mere la'l raho
ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo
nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ
let love's longing with the ache of existence compound
when spirits intermingle the euphoria is profound
gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon mein milen
let love's longing with the ache of existence compound
when spirits intermingle the euphoria is profound
-
Tags : Ghamand 1 more
duniyā pasand aane lagī dil ko ab bahut
samjho ki ab ye baaġh bhī murjhāne vaalā hai
duniya pasand aane lagi dil ko ab bahut
samjho ki ab ye bagh bhi murjhane wala hai
-
Tag : Dil
chale to paañv ke nīche kuchal ga.ī koī shai
nashe kī jhoñk meñ dekhā nahīñ ki duniyā hai
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
kis ḳharābī se zindagī 'fānī'
is jahān-e-ḳharāb meñ guzrī
kis KHarabi se zindagi 'fani'
is jahan-e-KHarab mein guzri
-
Tag : Zindagi
mukammal dāstāñ kā iḳhtisār itnā hī kaafī hai
sulāyā shor-e-duniyā ne jagāyā shor-e-mahshar ne
mukammal dastan ka iKHtisar itna hi kafi hai
sulaya shor-e-duniya ne jagaya shor-e-mahshar ne
mujh ko atā huā hai ye kaisā libās-e-zīst
baḌhte haiñ jis ke chaak barābar rafū ke saath
mujh ko ata hua hai ye kaisa libas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak barabar rafu ke sath
-
Tags : Ageand 2 more
is tamāshe kā sabab varna kahāñ baaqī hai
ab bhī kuchh log haiñ zinda ki jahāñ baaqī hai
is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai
ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai
duniyā meñ huuñ duniyā kā talabgār nahīñ huuñ
bāzār se guzrā huuñ ḳharīdār nahīñ huuñ
I live in this world tho for life I do not vie
I pass through the market but I do not wish to buy
duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun
bazar se guzra hun KHaridar nahin hun
I live in this world tho for life I do not vie
I pass through the market but I do not wish to buy
kuchh is ke sañvar jaane kī tadbīr nahīñ hai
duniyā hai tirī zulf-e-girah-gīr nahīñ hai
kuchh is ke sanwar jaane ki tadbir nahin hai
duniya hai teri zulf-e-girah-gir nahin hai
paañv jab simTe to raste bhī hue takiya-nashīñ
boriyā jab tah kiyā duniyā uThā kar le ga.e
panw jab simTe to raste bhi hue takiya-nashin
boriya jab tah kiya duniya uTha kar le gae
duniyā ne kis kā rāh-e-fanā meñ diyā hai saath
tum bhī chale chalo yūñhī jab tak chalī chale
duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale
ayāl-o-māl ne rokā hai dam ko āñkhoñ meñ
ye Thag haTeñ to musāfir ko rāsta mil jaa.e
ayal-o-mal ne roka hai dam ko aankhon mein
ye Thag haTen to musafir ko rasta mil jae
māshūqoñ se ummīd-e-vafā rakhte ho 'nāsiḳh'
nādāñ koī duniyā meñ nahīñ tum se ziyāda
mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasiKH'
nadan koi duniya mein nahin tum se ziyaada
ye ham ne bhī sunā hai ālam-e-asbāb hai duniyā
yahāñ phir bhī bahut kuchh be-sabab hotā hī rahtā hai
ye hum ne bhi suna hai aalam-e-asbab hai duniya
yahan phir bhi bahut kuchh be-sabab hota hi rahta hai