join rekhta family!
Ghazal 92
Nazm 47
Sher 79
hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
kabhī kisī ko mukammal jahāñ nahīñ miltā
kahīñ zamīn kahīñ āsmāñ nahīñ miltā
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin aasman nahin milta
-
Share this
- See Ghazal
har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī
jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
-
Share this
- See Ghazal
Doha 12
naqsha le kar haath meñ bachcha hai hairān
kaise dīmak khā ga.ī us kā hindostān
naqsha le kar hath mein bachcha hai hairan
kaise dimak kha gai us ka hindostan
-
Tag : Deshbhakti
BOOKS 23
Image shayari 25
har taraf har jagah be-shumaar aadmii phir bhii tanhaa.iyo.n kaa shikaar aadmii sub.h se shaam tak bojh Dhotaa hu.aa apnii hii laash kaa KHud mazaar aadmii har taraf bhaagte dau.Dte raaste har taraf aadmii kaa shikaar aadmii rose jiitaa hu.aa roz martaa hu.aa har na.e din nayaa intizaar aadmii ghar kii dahliiz se gehuu.n ke khet tak chaltaa phirtaa ko.ii kaarobaar aadmii zindagii kaa muqaddar safar-dar-safar aaKHirii saa.ns tak be-qaraar aadmii
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Videos 46
Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Nida fazli was born in Delhi. Nida Fazli is a poet lyricist. He moved to Mumbai in a search for job in the early days of his career.His poetic style attracted the notice of filmmakers and writer of Hindi and Urdu literature. He recited his poetry for Rekhta.org Nida Fazli
